100 Fly 51.97 Me Karke Sajan Prakash Ne Jeeta Silver Medal

Game Me Jitna Nahi, Balki Jitne Ki Chah Rkhna Hi Sab Kuch Hota Hai.

Hey Guys, Article Ke Title Se Hi Apko Pta Lag Gya Hoga Ki Iss Article Me Kya Hai, Ji Ha Sajan Prakash Jo Ki Indian Michael Phelps Ke Name Se Bhi Indian Swimmers Ke Beech Kafi Famous Hai Unhone 5th Asian Indoor And Martial Arts Games Me India Ke Liye 100 Butterfly Me 51.97sec Ke Time Ke Sath Silver Medal Hasil Kar India Ka Name Ek Baar Fir Se Uncha Kar Diya Hai, Halaki Agar Aap 1st Position Ke Swimmer Ke Time Par Najar Dalenge To Aapko Kuch Fraction Ka Hi Difference Dikhega Lekin Yhi To Asli Swimming Race Ka Mja Hai, Sajan Prakash Ke Bare Me Ya Unki Swimming Career Ke Bare Me Agar Aapko Janna Hai Ya Ek Olympian Kaise Tyar Hota Hai To Uske Liye Mai Aapko Lane 0 Swimming Documentary Dekhne Ki Salah De Skta Hu Kyuki Lane 0 Ek Genuiun Swimming Documentary Hai.

Men’s 100m Butterfly Medalists

GOLD – WANG Peng CHN – People’s Republic Of China  – 51.41 Sec

SILVER – PRAKASH Sajan Prakash IND – India   – 51.97 Sec

BRONZE- KOZLYUK Artyom UZB – Uzbekistan  – 52.02 Sec

Swimming Jaise Game Ko Sayad Utni Importance India Me Nahi Milti Jitni Baki Games Ko Milti Hai Lekin Fir Bhi India Ke Swimmers Apne Dam Par India Ka Name Major International Events Par Hmesa Se Upar Karte Aye Hai. Veer Dhawal Khade, Sandeep Sejwal, Richa Mishra, Sajan Prakash Or Bhi Kafi Sare Swimmers Ko Dekh Kar Aaj Har Young Swimmer Swimming Me India Ke Liye Medal Jitne Ka Khwab Dekhta Hai, Swimswam Ki Team Sajan Prakash Ke Bright Future Ke Liye Wish Krti Hai. Aur Jitne Bhi Young Swimmers Ya Unke Parents Ye Article Pdh Rhe Ho To Mai Unse Bas Itna Khna Chahuga Ki Agar Mind Me Aim Clear Hai To Kisi Ki Na Suno Or Jo Aim Kiya Hai Usko Pa Kar Hi Choro(You Are The Best), Kyuki Ek Baar Jab Aap Uppar Bdhne Lgte Ho To Apko Rokne Wale Bhi Bahot Se Log Milne Lgte Hai. Jai Hindi

Join Us:-

Rules:-

  • Sirf Swimming Related Topic Hi Group Me Dale.
  • Swimming Related Questions Ya Apni Swimming Video Group Me Share Kar Skte Hai
  • Swimming Ke Alawa Koi Bhi Message Krne Wale Ko Group Se Remove Kar Diya Jayega

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »