Organic Farm Me Bita Rhe Lockdown, Irrigation Tank Me Kar Rhe Practice Likhit

TOI Dwara Aayi News Me Btaya Gaya Ki Ek Taraf Jaha Pure World Me Bahut Sare Sport Star Apne Ghar Ke Andar Hi Lockdown Me Hai Wahi Indian Swimmer Likith SP Apna Lockdown Nature Ke Sath Bita Rhe Hai. Likith SP Pichle 45 Din Se Coach Partha Varanshi Ke Farm Par Apni Training Jari Rakhe Hue Hai.

TOI Se Likith Btate Hai Ki – “Mere Coach Jo Ki Ek Poly Athlete Hai And Ek Organic Farmer Bhi Hai Unke Pass Ek Huge Farm Hai Jo Ke Lagbhag 100 Acres Me Faila Hua Hai Ye Farm Puttur Ke Pass Me Hai, Jo Ki Kerala And Tamil Nadu Ke Border Par Padta Hai. Jis Area Me Ham Log Rahte Hai Wo Charo Taraf Se Forest Se Ghira Hua Hai Aur Aap Ye Bhi Kah Sakte Hai Ki Mai Jungle Me Fasa Hua Hu.”

Agar Chize Sahi Hoti To Likhit Olympic Qualifiers Ki Team Ke Sath Apni Tyari Kar Rhe Hote Lekin Plans Me Changes Hue. “Mai February Ke Last Week Me Apne Coach Ke Farm Par Aaya Tha, Mai Sirf 2 Din Ke Workshop Ke Liye Yaha Par Aya Tha And Tabse Mai Yahi Par Hu. Ham Total 25 Log Hai Jisme 15 Swiimmers Hai, In Sabke Karan Ye Ab Hmara Home Ban Chuka Hai.”

Jab Chize Normal Hongi Tab Likith Apne Main Event 100m Breaststroke Me 59.93 Time Lane Ki Kosis Krenge Jo Ki Olympic Ke A Qualification Mark Ke Barabar Hai. Abhi Likhit Ke Best Time 1:02.02 Hai Jo Unhone Malaysia Open 2019 Me Bnaya Tha.

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »