Behad Khas Indian Swimming News Nikal Kar Ayi Hai Ki Indian Swimmer Virdhawal Khade Ab Dubai Me Hone wali 2 Month Ki National Training Ka Hissa Nahi Bnenge, Aise Wo Kisi Personal Reason Ke Liye Kar Rhe Hai. Hal Hi Me News Ayi Thi Ki India Ke 4 Swimmer Virdhawal Khade, Srihari Nataraj, Sajan Prakash And Kushagra Rawat Dubai Me 2 Month Ke Training Krne Jayenge Jisme National Coach A.C Jayarajan Bhi Shamil Rhenge.
Ham Jante Hai Ki COVID-19 Ke Karan Swimming Pichle 4 Se 5 Months Se India Me Band Kari Gayi Hai And Koi Bhi Swimmer Apni Pool Ki Practice Ko Nahi Kar Pa Raha Hai, Aise Me India Ke 4 Top Swimmers Ko India Ke Bahar Apni Practice Continue Karne Ka Mauka Milna Behad Acchi News Hai. Ye Sabhi 4 Swimmers Tokyo Olympics Ke Liye Bhi B Qualification Hasil Kar Chuke Hai Jo Is Prakar Hai:
- Virdhawal Khade (50m Freestyle)
- Srihari Nataraj(100m Backstroke)
- Kushagra Rawat(400m,800m,1500m Freestyle)
- Sajan Prakash(200m Butterfly)
Lockdown Lagne Ki Wajah Se Sabhi SAI Centres Ko Close Kar Diya Gaya Tha Jisse Swimmers Par Sabse Jyada Bura Asar Pada. Jaha Alag-Alag Disciplines Ke Other Centres Open Ho Gaya Hai To Wahi Swimming Akela Bacha Hai Jiske Training Centres Abhi Bhi Closed Hai.
Ab Tokyo Olympics Me Bhi 1 Saal Se Kam Ka Time Bacha Hai Aise Me Practice Na Kar Pane Se Accha 2 Month Ki Training Bhi Sahi Hai. Ye Swimmers Ke Liye Bahut Critical Time Hai Kyuki World Ki Lagbhag Sabhi Jagah Swimming Pool Open Kar Diye Gaye Hai And Swimmers Ne Apni Apni Practice Start Kar Di Hai, Lekin Wahi India Is Mamle Me Piche Najar Aa Rha Hai.
“I Decided Against It (Attending The Camp) Due To Personal Reasons,” Said Virdhawal Khade, To PTI.
Virdhawal Ne Personal Reason Btate Hue Kaha Ki Wo Iske Khilaf Hai Matlb Wo Ye Camp Nai Attend Kar Sakte.