India Ke 3 Top Swimmers Ki Olympic Training Hogi Dubai Me- Indian Swimming News

Indian Swimmers Ke Liye Ek Rahat-Bhari News Aa Chuki Hai. Sports Authority Of India 2 Months Ke Liye India Ke 3 Top Swimmers Virdhawal Khade, Srihari Nataraj And Kushagra Rawat Ko Dubai Me Practice Krwane Ke Liye Le Jayegi. Inn 3 Swimmers Ki Training Dubai Ke Aqua Nation Swimming Academy Me Coach AC Jairaj Ke Supervision Me Hogi.

Ye Decision Indian Swimmers Ke Liye Bahut Jaruri Tha Kyuki India Me COVID-19 Ke Karan Pichle 4 Month Se Koi Bhi Swimming Pool Nahi Open Hai Jiske Chalte Koi Bhi Swimmer Apni Practice Nahi Kar Paya Hai. 31 August Tak Abhi India Ke Baki Swimmer Ko Aur Wait Krna Pdega Jab Tak Unlock 4.0 Ki List Samne Nahi Aati.

Haal Hi Me India Ke Fastest Swimmer Virdhawal Khade Ne Media Ko Btaya Tha Ki Wo Retirement Le Sakte Hai Kyuki Unke Pass Iske Alawa Koi Option Nahi Hai, Aisa Unhone Isliye Kaha Tha Kyuki Unki Practice Pichle 4 Months Se Ruki Hui Thi And Ministry Of Home Affairs Ke Unlock Ke 3rd Phase Me Bhi Swimming Ko Puri Taraf Se Bahar Rakha Gaya.

Unhone Indiatoday Se Baat Krke Ye Btaya Tha Ki “Abhi Kuch Nahi Badla Hai, Ye 2-3 Month Phle Ki Baat Hai. Ab Mai Apne Office Ke Kaam Par Jyada Dhyan De Raha Hu, Mere Mind Me Abhi Aur Kuch Bhi Nhi Chal Rha Hai. Mujhe Apni Training Par Kuch Nhi Khna Hai Aur Abhi Ham Clear Bhi Nahi Hai Ki Aage Kya Hone Wala Hai, Dekhte Hai Kya Hota Hai. Mai Swimming Training Ke Bare Me Bilkul Nahi Soch Rha Hu, Office Work Me Dhyan Lgane Se Mujhe Mere Dimag Me Chal Rhi Training Ko Lekar Chinta Ko Kam Krne Me Help Mili Hai, Isliye Mujhe Kafi Aram Hai.”

Virdhawal Khade Present Time Me Maharastra Me Collector Office Me Duty Karte Hai Aur Swimming Me Unhone Olympic Ke Liye B Cut Bhi Hasil Kiya Hua Hai Lekin COVID-19 Ki Wajah Se Unki Bhi Swimming Ki Training Ruki Hui Hai.

Srihari Nataraj Jinhone 100m Backstroke Me 54.69sec Ke Sath Olympic B Qualification Hasil Kiya Hai Wahi Kushagra Rawat, Ne 3 Events 400m,800m,1500m Freestyle And Virdhawal Khade Ne 50m Freestyle Me Me Olympic Ke Liye B Qualification Hasil Kiya Hai.

Indian Swimmer Sajan Prakash Ek-Laute Aise Swimmer Hai Jinki Training Thailand Me Already Start Ho Chuki Hai.

6 Swimmers Jinhone Olympic Ke Liye B Qualification Hasil Kiya Hai-

  1. Virdhawal Khade (50m Freestyle)
  2. Srihari Nataraj(100m Backstroke)
  3. Kushagra Rawat(400m,800m,1500m Freestyle)
  4. Sajan Prakash(200m Butterfly)
  5. Aryan Makhija(800m Freestyle)
  6. Advait Page(800m Freestyle)

Lockdown Lagne Ki Wajah Se Sabhi Sai Centres Ko Close Kar Diya Gaya Tha Jisse Swimmers Par Sabse Jyada Bura Asar Pada. Jaha Alag-Alag Disciplines Ke Other Centres Open Ho Gaya Hai To Wahi Swimming Akela Bacha Hai Jiske Training Centres Abhi Bhi Closed Hai.

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »