2024 AUSTRALIAN OLYMPIC TRIALS
- Monday, June 10th – Saturday, June 15th
- Brisbane Aquatic Center – Brisbane, Australia
- Prelims at 11am local/9pm previous day ET; Finals at 7:30pm local/5:30am ET
- LCM (50 meters)
- Swimming Australian Olympic Nomination Criteria
- Meet Central
- Updated Psych Sheet
- Heat Sheets
- Day 1 Prelims Recap | Day 1 Finals Recap
- Day 2 Prelims Recap | Day 2 Finals Recap
- Day 3 Prelims Recap
- Live Results
- Livestream (VPN Needed)
Olympic Champion Mckeown Ne 57.41 Seconds Me Finals Jeeti, Jo Iss Event Me History Ka Second-Fastest Swim Record Hai Aur Last Year Hungary Me Word Cup Event Me Unke Best (57.33) Se Keval 0.08 Seconds Kam Hai.
Kaylee Mckeown Tuesday Ko Australia Se Olympic Trials Me 100m Backstroke World Record Ke Kaafi Kareeb Pahonch Gayi Thi Lekin Wah Apne Competitor Mollie O’ Callaghan Ki Swimming Se Jada Impressed Thi.
Olympic Champion Mckeown Ne 57.41 Seconds Me Finals Jeeta, Jo Iss Event Ka History Me Second-Fastest Swim Performance Tha Aur Last Year Hungary Me Word Cup Event Me Unke Best (57.33) Se Sirf 0.08 Second Kam Tha.
57.88 Ka Time Lene Wale Runner Up O’ Callaghan Se Challenge Milne Par, Mckeown Brisbane Aquatic Centre Me Final Metres Me Flag Karne Tak Record Place Se Kaafi Aage Thi.
22 Year Old Ne Kaha, “ Main Jhoot Nahi Bolungi, Lekin Main Isse Thodi Disappointed Thi.”
“Aap Jaante Hain Ki Improvement Ki Hamesha Gunjaish Hoti Hai. Mujhe Khushi Hai Ki Koi Aur Bhi 57 Second Ke Club Me Join Kar Liya Hai.”
Mckeown Ki Sizzling Tairaki, Final Me Jeetne Ke Liye 4th Sabse Tez 200m Individual Medley Time Darj Karne Ke Ak Din Baad Aai.
100 & 200m Freestyle World Champion O’ Callaghan Ne Iss Saal Mckeown Ko Inspire Karne Ke Liye Ak Formidable Backstroker Me Transform Ho Gayi.
Redhead Ne April Me Australian Open Championship Me Apna Previous Personal Best Of 58.09 Set Break Kiya Aur 58 Seconds Ka Time Break Karne Wali 4th Swimmer Ban Gayi, Mckeown, American Regan Smith And Canadian Kylie Masse Ke Saath.
“Main Ye Bilkul Expect Nahi Kar Rahi Thi Lekin Main Result Se Bahot Khush Hun,” 20 Year Old O’ Callaghan Ne Kaha, Jinhe Av Apna Freestyle Events Swim Karna Baaki Hai.
“Iss Week Abhi Aur Adhik Aana Baaki Hai. Toh Definitely Iss Wajah Se Nervous Hun Lekin Ye Start Karne Ka Ak Great Way Hai.
Breaststroke Weakness:-
O’ Callaghan Ke Backstroke Improvement Ne Paris Ke Liye Australia Ki Medley Relay Ki Depth Ko Boost Kiya Hai, Halanki Injuries Ki Wajah Se Last Month Chelsea Hodges Ke Retirement Ke Baad Breaststroke Ak Distinct Weakness Bani Hui Hai.
Hodges Ne Australia Ko Tokyo Games Me Gold Medal Ke Liye USA Ko Harane Me Help Ki, Lekin Tuesday Ko 100m Breaststroke Final Me Koi Bhi Emerging Successor Standout Nahi Kiya.
Jenna Strauch Ne 1:06.90 Me Jeeta, Ella Ramsay Ko 0.04 Second Se Pichhe Chhod Diya Lekin Dono Hi Australia Ke Olympic Qualifying Standard 1:06.31 Tak Nahi Pahonch Paai.
Last Year Fukuoka World Championship Me Desh Ki Silver Medal Winner Medley Relay Team Ka Part Rahe Abbey Harkin 4th Place (1:07.18) Pe Rahe.
Men’s 100m Backstroke Me Bhi Disappointment Mili Kyunki Winner Isaac Cooper (53.46), Non-Olympic 50m Backstroke Me World Champion, Australia Ke Olympic Benchmark (53.21) Tak Pahochne Me Fail Rahe.
Tokyo Me Britain Dwara Jeeti Gayi Relay Me Bronze Medal Jeetne Ke 3 Saal Baad, Australia Ke Paas Men Ki 200m Freestyle Me Behtar Sambhavnayen Hain.
Max Giuliani, Jo Desh Ki 200m Record Book Me Ian Thorpe Ke Baad 2nd Place Pe Hain, Ne Thomas Neil (1:46.02) Se Aage Rahte Huye 1:45.83 Me Final Jeeta.
Neil Ne Kaha, “ Aap Iss Baat Pe Trust Kar Sakte Hain Ki Australia Uss (Relay) Ke Liye Bahut Strong Team Lekar Aayega Aur Brits Ko Harane Ki Koshish Karega.”
Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi