Championship Level Ke Sath Har Level Ke Swimmer Apne Performance Me Positive Result Cahte Hai Aur Kyi Months Ki Hard Working Aur Morning Ki Training Aur Kuch Sbse Hard Sets Ko Kerne Ke Bad Is Opportunity Me Koi Bhi Swimmer Apne Performance Me 1% Ki Bhi Kmi Nhi Cahega Niche 4 Khas Tarike Diye Hai Jo Apke Performance Ko Jyada Se Jyada Badhane Me Help Kerega.
Packing Ek Professional Tarike Se Kerna:
Iska Yeh Mtlb Hai Ki Choti Se Choti Chij Ki Tyari Kerke He Kisi Competition Ke Liye Jana Cahiye Jaise Do Extra Swimsuit, Extra Cap , Extra Goggle Ye Sb To Hona He Cahiye Lekin Iske Alawa Bhi Kuch Chije Hai Jaise Kuch Ke Liye Yeh Ipod Hota Hai Taki Vo Block Pr Jate Wqt Music Ko Sun Kr Apne Brain Ko Normal Condition Me Rakh Pay To Isse Ap Samajh Gye Honge Ki Basic Chijo Ke Alawa Bhi Kuch Aisi Chij Hoti Hai Jo Compaction Me Khiladiyo Ki Help Kerti Hai
Extra Energy Ko Manage Kerna :
Competition Ke Kuch Week Pehle “Practice Volume” Ko Km Kiya Jata Hai Aur Sirf Khas Hisso Pr He Kam Kiya Jata Hai Aur Usko Improve Kiya Jata Hai, Aur Isi Bich Swimmers Ko Lagta Hai Ki Unke Andar Energy Jyada Ho Chuki Hai Jabki Ye Energy Whi Hai Jo Swimmer Long Workout Me Use Kerte Hai Aur Is “Influx” Pr Kabu Kerna Bahut Challenging Ho Jata Hai Isliye Is Extra Energy Ko Competition Ke Liye Bacha Ke Rakhna Cahiye.
Diet Ko Surprise Free Rakhna :
Halaki Hum Sbko Lagta Hai Ki Hume Apne Diet Me Alag Alag Variety Leni Cahiye, Aur Bahut Se Log To Har Din Ka Diet Plan Alag Alag Rakhte Hai Lekin Kya Vo Sb Variety Competition Ke Time Pr Milegi??? Isliye Competition Jaise Jaise Najdeek Aata Hai Usi Hisab Se Apni Diet Ko Bhi Set Kerna Cahiye Jo Race Wale Din Aasani Se Mil Ske.
Pre Race Ki Tyari Kerna:
Pre Race Ek Trigger Jaise Kam Kerti Hai Pehle Se He Warmup Ka Time,Kitni Der Stretch Kerna Hai Aur Baki Sb Pehle Se He Ready Rakhna Cahiye Pre Race Workout Apko Ek Comfort Zone Me Rehne Me Help Kerti Hai
Join Us:-
- Google Plus:- SwimSwam Hindi
- Twitter:- SwimSwam Hindi
- Facebook:- SwimSwam Hindi
- Pintrest:- SwimSwam Hindi
- Flipboard:- SwimSwam Hindi
- SwimSwam Hindi Whatsapp :- +91 81879 96947 Or SwimSwam Hindi
Rules:-
- Sirf Swimming Related Topic Hi Group Me Dale.
- Swimming Related Questions Ya Apni Swimming Video Group Me Share Kar Skte Hai
- Swimming Ke Alawa Koi Bhi Message Krne Wale Ko Group Se Remove Kar Diya Jayega