2020 Tokyo Olympics Me Add Honge Distance Event Aur Mixed Relay

Kafi Sare Changes Ke Baad Aaj IOC (International Olympic Committee) Ne Finally Announcement Kar Di Hai Ki 2020 Tokyo Olympics Me Kon Kon Se Changes Honge Aur Kon Kon Se Naye Event Add Honge aur  Ye Changes Kuch Is Prakar Hai

  • Men’s 800m Freestyle
  • Women’s 1500m Freestyle
  • Mixed 400m Medley Relay

1500m Aur 800m Freestyle Ke Add Hone Ka Ye Matlb Hai Ki Men Aur Women Dono Hi Aab Same Event Me Compete Karenge Aur Yahi Wo Chiz Hai Jiska Swimming Fans Ko Besabri Se Intezar Tha. Iske Phle Women Category me 800m Freestyle Hi Sabse Bda Event Hota Tha Jo Ki 1968 Olympic Program Ke Time Add Hua Tha Aur Men Category Me 1500m Jo Ki 1904 Olympics Se Hi Ho Rha Hai.

Women Category Ki Baat Kre Aur  Katie Ledecky  Ka Name Na Aaye Aisa Kaise Ho Skta Hai, Wo Bhi Freestyle Me  Katie Ledecky Abhi Tak Ki Best Swimmer Hai Aur 1500m Freestyle Ka Add Hona  Katie Ledecky  Ke Liye Ek Nayi Opportunity Layega Aur 1500m Freestyle Me Phla Gold Sayad(99.99%)  Katie Ledecky  Ko Hi Milega.

Men Category Me Chinese Star Sun Yang 2013 World Championship Me 400m, 800m Aur 1500m Free Dono Me Gold Medal Apne Name Kiya Tha. Canada Ke Ryan Cochrane Ne Bhi Same Event Me Medals Jite The. 2016 Rio Olympics Me 1500m Ka Gold Medal Apne Name Kiya.

Fans Sayad Jyada Excited 400m Mixed Midley Relay Ke Liye Nahi Hai, Kyuki Ye 2015 Se Ye Event World Championship Ka Part Rha Hai. Lekin Aap Yakin Maniye Tokyo 2020 Me Is Event Ka Ek Alag Hi Mja Hoga.

Thank You Readers, Aapki Traf Se Jo Support Mujhe Mil Rha Hai Uske Liye Mai Aap Sabko Dil Se Thanks Karta Hu. Aur Aap Hmare Facebook Page Swimswamhindi Ko Like Kre Aur Apne Review Jrur De.

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »