Visualization Se Kaise Performance Improve Ki Ja Skti Hai

Hello Swimmers Aaj Mai Ye Article Khud Ke Experience Se Bna Rha Hu Or Sayad Iss Article Ko Pdh Kar Aap Bhi Apni Performance Me Kafi Jaldi Improvement La Payenge. Even Aap Kisi Bhi Level Ke Swimmer Ho Ye Method 100% Positive Result Hi Dega, To Chaliye Dekhte Hai Wo Khas Method :

Maine Abhi Tak Kafi Sare Swimmers Se Baate Ki Hai Or Wo Swimmers Har Level Ke Hai Or 2008 Se Olympics Me Swimming Ke Har Ek Event Ko Follow Bhi Kiya Hai Or Usme Se Kuch Aisi Chize Notice Ki Hai Jisko Maine Khud Par Try Kiya Or Wo Mere Liye Kafi Helpful Rhi Or Har Swimmer Ke Liye Bhi Hogi.

Jab Bhi Aap Akele Hote Honge Or Bore Ho Rhe Hote Honge To Aap Sochte Honge Ki Kash Apke Friends Waha Hota To Aap Game Khelte Ya Tv Dekhte, Right ? Or Aap Us Time Apne Friends Ko Visualize Karne Lgte Hai Ki Aap Kaise Kaise Game Khelte Or Wo Sari Chize Aapke Samne Dikhne Bhi Lgti Hai, Right ? To Aap Isko Swimming Me Kaise Use Kar Skte Hai Or Sabse Important Aap Practice Me Iska Kaise Use Kar Skte Hai? Lekin Mai Guarantee Deta Hu Ki Iske Sath Familiar Hone Ke Baad Aap Iska Itna Use Krenge Ki Aapko Hmesa Best Time Krne Ke Liye Iss Chiz Ka Use Krna Pdega.

1500,800,400m Jaise Long Event Me Agar Koi Swimmers 1st Position Par Swim Kar Rha Hota Hai Or 2nd Wale Swimmer Se Bhi Kafi Achi Distance Se Aage Rhta Hai To Uss Time Usko Pull Kon Kra Skta Hai ? Even Katie Ledecy Ki Race Apne Dekhi Hi Hogi Or 1st Or 2nd Ke Beech Ki Distance Bhi Apne Dekhi Hi Hogi. Lekin Fir Bhi Katie Hamesa World Record Tak Pahuch Hi Jati Hai Jabki Uss Time Swimming Karte Wakt Uske Agal Bgal Koi Swimmer Nahi Hota Jisko Dekh Ke Wo Apni Speed Or Pull Krne Ki Kosis Kre.

Actually Katie Or Bhi Jitne Champions Ke Maine Interviews Pdhe Ya Unki Race Dekhi To Ye Clear Ho Gya Ki Wo Log Race Me Bhle Hi 1st Par Swim Kar Rhe Hote Hai But Uss Time Bhi Wo Apne Se 1-2 Body Lenght Par Khud Ko Imaging Kar Ke Usko Beat Karne Ki Kosis Krte Hai, Isliye Wo Itne Bde Bde Acheivments Hasil Kar Pate Hai Or Hmko Lgta Hai Ki Wo Extraordinary Hai. Lekin Ye Sab Visualization Ka Hi Result Hai Jo Ki Unko Extra Push Krta Hai.

Aab Baat Krte Hai Ham Apne Swimmers Ki To Aapne Ye Dekha Hoga Ki Jab Bhi Kisi Event Me Swimmer Sabse Aage Swim Kar Rha Hota Hai Or Ye Clear Ho Jata Hai Ki He Is Going To Will The Race Tab Wo Kya Krta Hai ? Wo Apni Speed Ki Flow Ko Bdhane Ki Bjaye Constant Kar Deta Hai, Right ? Isse Wo Race To Jeet Jata Hai Lekin Bahot Kuch Kho Deta Hai.

Visualization Ke Role Itna Hi Nahi Hai Practice Me Aagar Aap Khud Ko(Dublicate You) Ko Apne Se Aage Swim Krte Hue Visualize Krenge To Pkka Aap Usko Piche Krne Ke Liye Or Power Lganyenge Jisse Aapki Strength Bhi Dhire Dhire Increase Hogi Jo Ki Aap Ke Liye Ek Acchi Baat Hai.

Agar Khud Ke Best Time Se Bhi Best Time Karna Hai To Khud Ko Harana Hi Hoga.

Or Ye Ek Aisi Chiz Hai Jo 1 Din Me Nahi Aa Skti Isliye Liye Aapko Roz Practice Me Iska Use Krna Pdega.

I Hope Visualization Ka Ye Article Apko Pasand Aya Hoga Agar Aaya Hai To Comment Karke Jarur Btaye.

Join Us:-

 

 

Rules:-

  • Sirf Swimming Related Topic Hi Group Me Dale.
  • Swimming Related Questions Ya Apni Swimming Video Group Me Share Kar Skte Hai
  • Swimming Ke Alawa Koi Bhi Message Krne Wale Ko Group Se Remove Kar Diya Jayega

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »