Agar Mai Aapse Puchu Ki Pool Mei Aapka Biggest Enemy Kaun Hai, Toh Aap Kya Answer Denge?
Aap Ko Kaisa Lagega Agar Mai Aapke Swimming Ke Antagonist Ke Baare Mei Batau Toh?
Aap Mei Se Mostly People Ka Answer Shayad Simple Aur Obvious Hoga: Aapka Unpleasant Teammate. Aisa Athlete Jo Aapki Age Ka Hi Hoga But With A Better Time For The Same Distance, Aisa Swimmer, Practice Karna Baad Mei Start Kiya Hoga But Better Results Obtain Kar Raha Hai.
Ho Sakta Hai Ye Answer Sahi Ho Lekin Isi Topic Par Maine Team Sejwal(Siddhant, Sameer And Pallavi Sejwal) Se Baat Kari Or Is Chiz Ko Ek Swimmer Se Acha Koi Nahi Bta Sakta, Team Sejwal Ki Baato Ko Is Article Me Summarized Kiya Gaya Hai.
Pool Mei Aapka Biggest Enemy Kaun Hai?
Siddhant Ne Iska Answer Dete Hue Bola Ki “Iska Real Answers Hai “Aap Khud, Aap Khud Apne Andar Ki Wo Voice Hai Jo Continuously Kahti Hai Ki Sofa Par Baithe Rahna Easier Aur Comfortable Choice Hai Rather Than Khud Ko Swimming Pool Tak Le Kar Jaana Aur Practice Karna”.
“Aap Hi Hote Hai Jo Khud Ko Remind Karate Rahte Hai Ki Aapke Legs Hurt Ho Rahe Hai Ab Slow Down Karne Ki Jarurat Hai, Aapka Heart Bahot Quickly Beat Kar Raha Hai, Ya Phir Ab Aapne Bahot Practice Kar Li Hai”.
“Aap Khud Hi Hai Jo Decide Karte Hai Ki Aapke Arms Aur Legs Slower Jayenge Ya Quicker, Kisi Aur Antagonist Se Jyada Ya Phir Kisi Aur External Factor Se Jyada Aap Ka Hi Decision Matter Karta Hai Aur Yahi Aapke Workout Or Competition Ka Result Determine Karta Hai”.
Positive Mindset Kyu Jaruri Hai?
Iska Jawab Dete Hue Sameer Sejwal Ne Bataya Ki “Aapne Bhi Suna Hoga Ki Positive Sochne Ki Kitni Jarurat Hoti Hai Apne Mind Ke Har Us Effort Ko Rokne Ke Liye Jo Hume Aage Badhne Se Rokta Hai. Jab Chize Aapke According Nahi Hoti Hai To Aise Time Par Jarurat Hoti Hai Hamare Andar Ke Positive Voice Ko Raise Karne Ki Jo Is Negative Voice Ko Overtake Kar Sake. Aur Hum Acche Se Practice Kar Sake”.
“Kahte Hai Ki Knowledge Of Its Existence First Step Hota Hai Hai Ye Realize Karne Ka Ki There’s A Problem, Tab Hum Conscious Step Le Sakte Hai Samajhne Mei Ki Hamare Mind Mei Kya Chal Raha Hai.
Tab Hum Finally Ye Realize Kar Sakenge Ki Hamare Mind Mei Mostly Thoughts Kaun Se Hai, Hamare Biggest Fears Kaun Se Hai Aur Use Samajhne Ke Liye Hume Apne Attention Ko Focus Karna Padega Us Most Important Race Ko Jeetne Ke Liye: Wo Race Jo Hamare Against Hai”.
Kaise Ek Swimmer Normal Baccho Se Alag Hota Hai, Parents And Coaches Ka Kya Role Hota Hai?
Pallavi Sejwal Ne Iska Answer Dete Hue Bola Ki “Har Swimmer, Non-Swimmer Ya Non-Athlete Se Bahut Alag Hota Hai, Ham Apne Breakfast, Lunch Ya Dinner Me Apne Man-Chaha Khana Nahi Kha Sakte Kyuki Agar Hmari Diet Me Kuch Bhi Ratio Galat Hota Hai To Uska Effect Hmari Performance Par Pdta Hai Jabki Ek Non-Swimmer Free Hota Hai Apne Man Ka Food Select Karne Ke Liye”.
“Hamare Din Ki Shuruwat Early Morning Me 4 Am Se Shuru Ho Jati Hai Or Jisme Morning Ki Kai Kilometers Ki Cycling Running And Swimming Include Hoti Hai Uske Baad College Work, Fir Gym And Fir Evening Training Session, In Sabke Baad Agar Kuch Time Bachta Hai To Hame Jo Chiz Krna Pasand Hai Wo Hai Rest”
“Summer Holidays Fun Time Hota Hai Non-Swimmers Ke Liye Lekin Ek Swimmer Par Real Me Workload Summer Holiday Me Hi Shuru Hota Hai Jab Sare Routine Ki Time Limit Double Triple Ho Jati Hai, Calories Increase Kari Jati Hai, Daily Ek New Target Ko Achieve Karne Par Jor Diya Jata Hai”
“And Ye Sab Routine Akele Dekhna Ham Swimmers Ke Bas Ka Nahi Hai Isliye Hmare Sath Hmare Parents And Swim Coach Hmesa Sath Khde Rhte Hai, Yahi Log Hi Time Time Par Hamko Encourage Karte Hai, Ham Jab Podium Par Medal Ke Sath Khde Hote Hai To Hmse Jyda Khusi Hmare Parents And Coaches Ko Hoti Hai”
“Mere Coach RK Singh Na Sirf Mere Coach Hai Balki Meri Team Ka Wo Important Part Hai Jiske Bina Team Adhuri Hai, Wo Hmari har Choti Se Choti Chiz Par Hmse Jyada Dhyan Dekar Usko Improve Krate Hai”
Indian Swimming Ki News And Swimming Se Related Amazing Tips Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Jrur Like Kar Le.