IOC Ne Tay Ki Tokyo 2020 Olympic Games Ki New Dates

Summer Olympics Jo Ki Isi Saal 24 July Se 8 August Tak Tokyo Me Hone Wale The Usko Postpone Kar Diya Gya Tha. Jiske Baad Koi Bhi New Date Nahi Decide Hui Thi Lekin Ab International Olympic Committee Ne New Time Frame Ko Update Karte Date Publish Kar Di Hai.

Jo New Date Aayi Hai Wo Is Saal Ki Date Se Almost Exactly Ek Saal Baad Ki Hai, New Date 2021 Me 23rd July Se 8th August Tak Rakhi Gayi Hai. And Jo Paralympic Games Ki Date Hai Wo 24th August Se 5th September Tak Rakhi Gayi Hai.

Tokyo 2020 Organizing Committee Ne Btaya Ki Jitne Bhi Volunteers Hai Unsabko Next Year Bhi Liya Jayega And Job Hi Tickets Khridi Gayi Hai Wo Sabhi Tickets Valid Rahengi Lekin Unko Full Refund Kiya Jayega Jo Nahi Aa Payenge.

Ye Decision 3 Baato Ko Dhyan Me Rakhkar Liya Gaya Hai:

  1. Athletes Ki And Jo Bhi Isme Involve Honge Unki Health Ko Protect Karna And COVID-19 Virus Ko Control Me Lana.
  2. Athletes Ke Interest Ko Hani Na Pahuche Is Baat Ka Bhi Dhyan Dena.
  3. The Global International Sports Calendar.”

Halanki Abhi Tak Koi Bhi Schedule Officially Nahi Diya Gaya Hai Lekin Jaise Hi New Schedule Publish Hoga Usko Bhi Yaha Update Kar Diya Jayega.

Ispr Kuch Expert Ka Ye Manna Hai Ki Olympic Ki New Dates Jaldi Rakhne Se Future Me Or Bhi Dikkate Aa Sakti Hai Kyuki COVID-19 Ki Vaccine Tyar Krne Me 12-18 Months Lag Sakte Hai Isliye Olympics Ki Date Par Jaldibaji Karna Theek Nahi. Agar agle saal tak vaccine nahi tyar ho payi to dikkate bahut badh sakti hai.

Halanki Ab IOC Ne New Dates Publish Kar Di Hai.

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »