COVID-19 Lockdown Me Mahakali River Me Swim Karke Gya India Se Nepal Apne Ghar

COVID-19 Lockdown Ke Chalte Ek Aisi News Aayi Hai Jisko Jan Kar Aap Smjh Sakte Hai Ki Log Kis Tarah Apne Ghar Jane Ke Liye Kuch Bhi Karne Ko Tyar Hai.

Uttrakhand Ke Pithoragadh District Ke Dharchul Me Indian Government Ne Bridge Ko Lockdown Kar Diya Tha Jiske Baad Ek Nepali Ne Apne Ghar Jane Ke Liye Swimming Krke Nadi Ko Par Kiya. Admi Ka Name Indra Jeet Khatri Hai Jinhone Mahakal Nadi Ko Paar Kiya Or Apne Or Nepal Pahuche.

Lockdown Ke Karan Khatri Dharchul Me 3 Din Se Rukehue The Or Apne Ghar Jane Ka Prayash Kar Rhe The Halaki Bridge Ke Lockdown Ho Jane Ke Karan Wah Nepal Nahi Aa Skte The Isliye Unhone Ye Faisla Liya Ki Wo Ab Swimming Karke Apne Ghar Jayenge.

Jaise Hi Khatri Nepal Pahuche Unko Waha Ki Police Ne Apne Kabu Me Kar Liya, Khatri Ne Government Se Ye Nivedan Kiya Ki Nepal Border Ko Khol De Taki Fase Hue Lagbhag 300 Nepali Apne Ghar Wapas Aa Sake, Unhone Ye Bhi Btaya Ki Swimming Karke Nepal Aane Ka Sirf Ek Hi Aim Tha Ki Unko Apni Baat Government Tak Pahuchani Thi.

Indian Swimming news and International Swimming news ki latest update ke liye SwimSwam Hindi Facebook Ko Jarur Like kare.

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »