5 Months Pool Se Dur Rahne Ki Wajah Se India Ke One Of The Most Accomplished Swimmers Mei Se Ek Virdhawal Khade Ki Priorities Mei Kaafi Change Aa Gaya Hai. Unka Kahna Hai Ki Wo Apni Job Par Focus Karna Chahte Hai Kyu Ki Isi Job Ne Inki Help Ki Mentally Afloat Karne Mei Jab Tak Facilities Reopen Nahi Hui Thi India Mei.
2010 Asian Games Mei Bronze medalist Virdhawal Khade Ne Dubai Mei Hone Wale Olympic Ke Camp Ke Liye Khud Ko Bahar Kar Liya Tha Aur Apna Intention Bhi Clear Kar Diya Tha Ki Unhe Ab Maharashtra Government Mei Hi Apni Job Par Focus Karna Hai.
PTI Se Baat Karte Huye, 29-Year-Old Ne Kaha Ki Wo Tab Hi Sport Mei Return Aayenge Jab India Ke Swimming Reopen Ho Jayenge.
“Mai Retire Nahi Ho Raha Hu. Jab Bhi India Mei Pools Reopen Ho Jayenge Tab Mai Phir Se Training Karne Aa Jaunga. Mai Abhi Bhi Ghar Par Workout Karta Hu Aur Khud Ko Fit Rakh Raha Hu. Mai Is Baat Se Jyada Khush Hu Mai Ab Jyada Time De Sakta Hu Family Members Aur Khud Ko Swimming Se Beyond Bhi Prepare Kar Paunga,” Unhone Kaha.
Country Ke Swimmer March 25 Se Pool Mei Enter Nahi Kar Paaye Hai Jab Se First Coronavirus-Forced Lockdown Laga Tha.
Khade Ne Kaha Ki Wo June Tak Kaafi Desperate The Pool Mei Wapas Aane Ke Liye But Uske Baad Unhone Bhi Motivation Lose Kar Diya.
“Maine Five Months Se Training Nahi Ki Hai. Mai Fittest Se Absolute Zero Par Pahoch Gaya Tha Is Lockdown Mei,” Khade Ne Kaha.
50m Freestyle Ki Category Mei Khade Ne Last Year Olympic ‘B’ Qualification Mark Achieve Kar Liya Tha
Unhe 22.01s Clock Karne Ki Jarurat Hai Bass, Tokyo Games Mei Apni Berth Secure Karne Ke Liye, Jo Ki Pandemic Ki Wajah Se Next Year Ke Liye Postponed Ho Chuke Hai.
6 Swimmers Jinhone Olympic Ke Liye B Qualification Hasil Kiya Hai-
- Virdhawal Khade (50m Freestyle)
- Srihari Nataraj(100m Backstroke)
- Kushagra Rawat(400m,800m,1500m Freestyle)
- Sajan Prakash(200m Butterfly)
- Aryan Makhija(800m Freestyle)
- Advait Page(800m Freestyle)