Veteran Indian Swimmer Virdhawal Khade, Jo Ki Asian Games Bronze Medalist Rahe The 2010 Mein, Unhone Government Of Maharashtra Mein Apni Tahsildar Ki Position Se Resigned Kar Diya Hai Taaki Wo Apne Coaching Career Par Full-Time Focus Kar Sakein. In 32-Year-Old Ne Jinhone Men’s 50m & 100m Mein National Records Hold Kiya Hai Unhone November 2023 Mein National Games Mein Gold Medal Jeet Kar Sabhi Swimming Competitions Se Retirement Le Liya.
Khade Ne Ye Announcement X Par Kiya Aur Likha, “Mai Ye Share Karne Ke Liye Excited Hun Ki Maine Apni Resignation GOM Ko Handed Kar Di Hai Aur Tahsildar Ki Apni Position Left Kar Diya Hai. Swim Coach Ki Tarah Meri Next Journey Ka Sirf Ek Hi Goal Hai- Mujhe Apna Best Dena Hai Taaki India Bhi Olympic Medal Laa Sakein.”
Indian Record By Virdhawal Khade
- 50m Freestyle – 22.43
- 100m Freestyle – 49.47
- 50m Butterfly – 24.09
- 100m Butterfly – 52.77
In Talented Swimmer Ne Apna Kuch Year Bhale Hi Lost Kiya Ho Apni Government Job Aur Knee Injury Ki Wajah Se But Wo 2018 Mein Circuit Mein Phir Wapas Aa Gaye Aur Us Baar Unhone Tokyo Olympics Mein Bhi Entry Li Thi. Last Year Retirement Lete Huye, Khade Ne Kaha, “Dil Se Mai Abhi Bhi Young Feel Karta Hun, But Body Ab Tired Feel Karne Lagi Hai. Bahot Saal Beet Chuke Hai Aur Is Dauran Maine Bhi Bahot Swim Kiya Hai. Mai Ab Utna Jaldi Recover Nahi Kar Paata Hun, Jitne Jaldi Pahle Kiya Karta Tha.”
“Pahle Mai 10 Events Kar Sakta Tha Bina Thake Huye, But Ab Toh 3 Events Bhi Jyada Lagte Hai. Mai Abhi Bhi Nerves Enjoy Karta Hun Race Mein Jane Se Pahle. Mujhe Nahi Lagta Hai Ki Ye Feeling Kabhi Mujhse Dur Jaane Wali Hai,” Unhone Kaha.
Indian Swimming Or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamHindi