2020 TOKYO SUMMER OLYMPIC GAMES
- When: Pool swimming: Saturday, July 24 – Sunday, August 1, 2021
- Open Water swimming: Wednesday, August 4 – Thursday, August 5, 2021
- Where: Olympic Aquatics Centre / Tokyo, Japan
- Heats: 7 PM / Semifinals & Finals: 10:30 AM (Local time)
- Full aquatics schedule
- SwimSwam Event Previews
- Entry Lists
- Live Results
Olympics Me Indian Swimming Performance ki shuruwat Maana Patel Ne 100m Backstroke se kari jisme unhone apni heat me me 2nd place par jagah to bnayi lekin utne time ke sath wo final me qualify nahi kar saki. Maana Patel ne 1:05.20 ke time se sath heat me second place hasil ki jabki same heat me Katai Donata jo ki Zimbabwe ki hai unhone 1:02.73 ke sath first place par finish kiya.
Maana Ke Splits
Distance | Time | Rank | Split Time |
|
50m | 31.01 | 2 | ||
Finish | 1:05.20 | 2 | 34.19 |
Men 100m backstroke me Srihari Nataraj ne 54.31sec ke time ke sath apni race complete kari halaki srihari bhi semi-finals ke liye apni jagah nahi bna paye. Srihari ka personal best time 53.77sec ka hai. Srihari apni heat me 5th place par rahe jabki overall baat kre to unko 27th place mili.
Srihari Ke Splits
Distance | Time | Rank | Split Time |
|
50m | 26.18 | 6 | ||
Finish | 54.31 | 5 | 28.13 |
Sajan Prakash 200m butterfly me semifinals ke liye qualify nahi kar sake, Sajan me Last month Italy me apna personal best time diya tha jo 1:56.38 ka tha lekin Olympics me Sajan usko break karne nahi kar sake and apni heat me 1:57.22 time ke sath 4th place and overall 24th place par hue.
Abhi Sajan prakash ki 100m butterfly ki race hona baki hai jo ki Thursday ko scheduled hai.
Sajan Prakash Ke Splits
Distance | Time | Rank | Split Time |
|
50m | 26.27 | 5 | ||
100m | 55.84 | 5 | 29.57 | |
150m | 1:26.26 | 4 | 30.42 | |
Finish | 1:57.22 | 4 | 30.96 |
Maana Patel Ne Apne ek interview me kaha ki “Mai apni performance se kafi khus hu kyuki yah mera best time tha, heat me jane se phle mai thoda nervous thi or shivering kar rhi thi. Mai sabhi emotions ke sath ghiri hui thi”, “Lekin maine apna 100% diya halaki mai finals tak nahi ja saki lekin mai khus hu ki mai yaha hu.”
View this post on Instagram
Swimming Schedule For Indian Swimmers
July 25: Men’s 100m Backstroke Heats — Srihari Nataraj, From 3:30 PM – Completed
July 25: Women’s 100m Backstroke Heats — Maana Patel, From 3:30 PM – Completed
July 26: Men’s 200m Butterfly Heats — Sajan Prakash, From 3:30 PM – Completed
July 29: Men’s 100m Butterfly Heats — Sajan Prakash, From 3:30 PM
LIVE STREAMING DETAILS
Sony TEN 1 HD/SD, Sony TEN 2 HD/SD Par Live Broadcast English Commentary Ke Sath Hoga. Jabki Sony TEN 3 HD/SD Par Live Broadcast Hindi Commentary Ke Sath Hoga. Doordarshan Network Par Bhi Live Broadcast Hoga.
Indian Swimming Ki News And Swimming Se Related Amazing Tips Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Jrur Like Kar Le