Pichle Kuch Years Mein Swimming Ko India Mein Accha Response Diya Gaya Hai – Shivangi Sharma, South Asian Games, 2019 mein silver medalist rahi Shivangi Sharma ne kaha ki pichle kuch years se swimming ko India mein kaafi accha response mila hai aur sports ministry bhi athletes ka dhyaan acche se rakh rahi hai.
Sharma ne South Asian Games 2019 mei ,100m freestyle, 200m freestyle aur 400m freestyle mei Silver medal jeeta tha.
“Swimming ko pichle kuch years se kaafi importance diya jaa raha hai. Government aur administration har sports ko financially support kar rahe hai. Ek sportsperson ko kai tarike ke expense lagte hai jaise ki travel, lodging, aur bhi kai. Isliye ye accha hai ki government athletes ko financially support kar rahi hai,” Sharma ne ek official statement ke dauran kaha.
Unhone Khelo India Youth Games ke pichle edition mei bahot accha perform kiya tha aur ab wo iske next edition mei isse bhi accha perform karne ka soch rahi hai.
Khelo India Youth games ka 3rd edition Guwahati mein 10-22 January tak hoga.
Sharma ne kaha – “Maine 2 golds,2 silvers, aur ek bronze medal jeeta tha 2019 Khelo India games mein. Yah competition ek great experience tha. Maine hare k event mei apna best performance diya tha. Assam mera home state hai aur iska agla edition mere home state Guwahati mei hi hone wala hai, to ab mai is competition ke liye aur acche se prepare karungi aur Assam ko proud feel karwaungi,”. – Times Of India
Indian Swimming Or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamHindi