Swimmers Ke Liye Mental Toughness

Agar Aapko Khud Ko Conquer Karna Hai Toh Us Ke Liye Mentally Tough Hona Bahot Important Hai Life Mein. Iss Article Ko Prakhar Dubey Dwara Likha Gaya Hai.

  • Usually, Jab Aap Hard Sets Lagate Hai Aur Practices Karte Hai Toh Usme Kabhi-Kabhi Self-Doubt Aur Discomfort Bhi Hota Hoga. But Jab Aap Khud Se Productive Talk Karte Hai Toh Ye Sab Chize Aapke Liye Aasan Ho Jaati Hai.
  • Aap Visualization Ka Use Karte Hai Competition Ke Time Jo Stress Feel Hoti Hai Use Deal Karne Ke Liye Aur Ye Technique Aapke Bahot Kaam Bhi Aati Hogi Jab Aapko Iski Sabse Jyada Jarurat Hoti Hogi.
  • Jab Aap Practice Ke Time Specific Things Par Concentrate Karte Hai Toh Aap Jaldi Improve Kar Paate Hai Kyu Ki Aap Fully Engaged Aur Present Rahte Hai.

Mental Toughness Ka Matlab Sirf “Tough” Banne Se Kahi Jyada Hai. Iska Matlab Hai Aapke Talent, Skills Aur Ability Ko Maximize Karna.

Isme Aapke Paas Jo Already Hai Uski Help Le Kar Aur Consistently Kaam Karna Hai.

Mental Toughness Ke Bare Mei Ek Persistent Misconception Ye Bhi Hai Ki Ye Koi Aisi Chiz Hai Jo Aapke Paas Hogi Ya Toh Nahi Hogi But Reality Mei, Mental Toughness Aisi Chiz Hai Jise Properly Programmed Aur Trained Kiya Jaa Sakta Hai.

Aapki Mental Toughness Bhi Aapki Other Skills Ki Tarah Hi Hai. Aap Is Par Jitna Time Spend Karenge Isme Utna Hi Better Hote Jayenge.

But Agar Aap Is Par Time Spend Nahi Karte Hai, Ise Avoid Karte Hai Kyu Ki Aapko Nahi Pata Ki Kaha Se Start Karna Hai, Ya Phir Aapko Lagta Hai Ki Ye Purely Innate Hai. Aur Phir Aap Hope Karte Hai Ki Jab Mujhe Jarurat Ho Toh Mere Andar Bhi Mental Toughness Aa Jaaye. Aapko Is Ke Liye Mehnat Karna Hoga.

Ye Kuch Simple Things Hai Jo Swimmers Use Kar Sakte Hai Mental Toughness Ko Build Karne Ke Liye.

1.Apni Water Bottle Par Self-Talk Likhiye:

Agar Koi Ek Skill Jo Mental Toughness Build Karne Mei Bahot Help Karti Hai Toh Wo Yahi Hai.

Aapko Pata Hona Chhaiye Ki Kaisi Self-Talk Ki Jarurat Padti Hai Aapko Aur Un Sabhi Ko Ek Saath Likh Lijiye Taaki Aap Ise Padh Sake Jab Aapko Iski Jarurat Ho. Aur Ye Aapke Water Bottle Par Likha Hoga Toh Aap Most Of The Time Ise Padh Sakenge. Aap Aisi Self-Talk Ko Kai Jagah Laga Sakte Hai Jaise Mirror Par, Apne Room Mei, Ya Aisi Kisi Bhi Jagah Jo Aap Jyadatar Use Karte Hai. Bass Aisi Jagah Lagane Ka Motive Yahi Hai Ki Ye Talks Baar-Baar Aapke Saamne Aati Rahe Aur Isse Aapke Mind-Set Mei Bhi Bahot Difference Aayega. Aapka Attitude Positive Ho Jayega. Andar Se Motivation Aayegi.

Dhyan Rahe Ki Aapki Self-Talk Unrealistic Nahi Honi Chhaiye, Aapse Aur Aapki Personality Se Unique Honi Chhaiye.

Dekhiye, Better Self-Talk Karne Ka Best Way Toh Ye Hai Ki Apni Life Ke Great Performances, Events, Incidents, Etc. Ko Yaad Kariye Aur Sochiye Ki Use Achieve Karne Ke Liye Aapne Kaisi Self-Talk Ki Thi? Aapka Mindset Kaisa Tha? Aur Phir Usi Chiz Ko Present Situation Ke Liye Use Kariye. It Works Like Magic.

2.Jo Bhi Aap Karte Hai Usme Hamesha Strong Finish Karo:

Effort Aur Focus Hamesha Strong Start Hote Hai. Chhahe Wo Koi Season Ho, Main Set Ho, Ya Training Ka Week Ho.

Jaise-Jaise Effort Aur Fatigue Aage Badhta Hai, Hamara Concentration Bhi Kam Hone Lagta Hai. Aur Iski Wajah Se Jab Hum Finish Ki Taraf Badhte Hai Toh Hamara Effort Kam Ho Jaata Hai.

But, Strong Finish Karna Aisi Chiz Hai Jo Hum Sabko Acche Se Karni Chhaiye.

Jab Aap Apna Koi Bhi Kaam Strongly Finish Karte Hai Toh Us Chiz Ka Benefit Bhi Bahot Milta Hai. Strong Finish Karna Hamesha Jab Ek Habbit Bann Jaata Hai Toh Isse Hamare Andar Ek Alag Hi Level Ka Confidence Aata Hai. Aur Ye Chiz Aap Ko Immediately Competition Se Separate Kar Deti Hai. Mai Jaanta Hu Ki Maximum Effort Lagane Ki Wajah Se End Taka Aaate-Aate Hum Sab Ki Halat Kharab Ho Chuki Hoti Hai Aur Mann Karta Hai Ki Bass Ab Jaise-Taise Mai Finish Kar Du. Par Aise Mei Bhi Aapko Himmat Nahi Haarni Chhaiye Aur Finish Bhi Utna Hi Strong Karna Chhaiye Jitna Strong Aapne Start Kiya Tha. Kyu Ki Yahi Mauka Hota Hai Apne Mental Toughness Ko Aur Tough Banana Ka. Aise Hi Time Par Hume Pata Chalta Hai Ki Hamare Andar Kitni Mental Toughness Bhari Hui Hai.

Aapko Aisa Swimmer Banna Hai Jo Hamesha Strong Finish Karta Ho.

Indian Swimming Ki News And Swimming Se Related Amazing Tips Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Jrur Like Kar Le.

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »