Swimmers Ke 3 Sabse Bekar Nightmares, Kya Aapke Bhi Koi Bekar Nightmares Hai?

Sabhi Sportsmen And Women Ki Tarah Swimmers Ki Bhi Khud Ka Good Luck Rituals Hota Hai, Superstitions Aur Habits Hoti Hai Jinhe Wo Kisi Mantra Ki Tarah Continuously Repeat Karte Rahte Hai Apni Race Se Pahle.

So, Kisi Bhi Swimmer Ka Worst Nightmare Kya Ho Sakta Hai?

Dark Ke, The Bogeyman, Insects Aur Confined Spaces Ke Fear Ke Bare Mei Bhul Jaiye, Jiske Bare Mei Mai Abhi Baat Karne Jaa Raha Hu Wo Kisi Bhi Swimmer Ke Real Nightmares Hai Aur Jo Swimmers Ko Raat Mei Bhi Neend Nahi Aane Dete Hai.

1.FALSE START!

Aap Puri Tarah Se Ready Hai. Aapne Bahot Hard Preparation Ki Hui Hai Yaha Tak Ki Aapne Minute Details Par Bhi Bahot Dhyaan Diya Hai. Aapne Apni Start Baar-Baar Practice Ki Hi Hai Aur Aapne Kabhi Bhi “False Start” Wali Mistake Bhi Nahi Ki Hai Training Mei.

Us Din Aap Apne Starting Block Ke Front Khade Huye Ho, Aur Uske Baad Jab Aap Us Long Whistle Ki Awaaz Ko Sunte Hai Tab Us Block Par Climb Karte Hai Jaise Ki Aap Ise Smash Karna Hi Chahte Ho, But… Just After The Command To “Take Your Mark”, Kuch Wrong Hota Hai, Aapko Lagta Hai Ki Starter Race Ko Start Karne Ke Liye Itna Time Kyu Le Raha Hai?

Tabhi Kuch Alag Hota Hai, Aapke Legs Blocks Se Explode Karne Ke Liye Ready Hai Aap Move Karte Hai Aur Ab Aap Off-Balance Ho Chuke Hai…. Aapne False Start Bana Liya Hai!

NOOOOO!!

Aap Ek Beginner Ki Tarah Water Mei Gir Jaate Hai. Aur Jab Aap Water Se Bahar Aate Hai Toh Race Official Already Other Swimmers Ko Unke Block Se Step Off Karne Ka Order Kar Raha Hota Hai. How Embarrassing!

Phir Bhi Don’t Worry! Swimming Ke History Mei Kai Great Champions Rahe Hai Jinhone Starting Block Par Apna Control Lost Kar Diya Tha Aur Dreaded False Start Commit Kar Diya Tha.

2.Jab Apke Equipment Apka Sath Nahi Dete Hai

2009 Mei, Rome Mei Huye World Swimming Championships Mei, Polyurethane Swimsuits Bahot Famous Huye The. Ye Almost TV Footage Ke Liye Ek Familiar Site Bann Chuki Thi Swimmers Ke Liye. Swinmmers Ko Bahot Struggle Karna Padta Tha Use Pahanne Liye. Wo Dree Waise Hi Fat Jaati Jaise Hi So Use Pahante The.

Fortunately Modern Day High-Tech Swimsuits Bahot Kam Troublesome Hi. But Try Kariye Imagine Karna Ki Aapka Swimsuit Just Before A Race Ya Phir Starting Block Par Hi Fat Jaae Toh. Aap Kya Karenge?! Ye Ek Panic Situation Ho Sakti Hai.

3.Water Ke Unidentified Objects

Swimmers, Strange Kind Of Aquatic Being Hote Hai. Wo Hamesha Clear Water Mei Swim Karna Pasand Karte Hai Aur Wo Bhi Right Temperature Mei. Unfortunately, Chize Aisi Nahi Hoti Hai. Hundreds Of People Roz Swimming Pool Use Karte Hai Aur Hamesha Cleanliness Ho Aisa Jaruri Bhi Nahi Hota Hai.

Agar Hum Sirf Ye Sochna Start Kar De Ki Water Ke Andar Kisi Bhi Moment Mei Kuch Bhi Ho Sakta Hai, Toh Hum Dekhenge Ki Water Mei Less Swimmers Hi Bachenge Aur Poolside Khade Hokar Dekhne Wale Log Jyada Honge. Agar Kabhi Galti Se Bhi Aap Apne Fingers Ke Beech Ya Apne Habds Mei Kuch Feel Karte Hai, Wo Leaves Ya Dead Insects Kuch Bhi Ho Sakta Hai, Toh Aap Immediately Freak Out Ho Jaate Hai.

Ya Toh Ye Clump Of Hair Ho Sakta Hai Ya Mucous Aur Agar Aap Open Water Mei Swimming Karte Hai Toh Wo Dead Leaves Ya Insects Ho Sakte Hai.

Ye Story Thi Hamare Fears Ki, Aise Fears Jo Sabhi Swimmers Ke Liye Common Hote Hai. Agar Aapko Lagta Hai Ki Kuch Aur Bhi Fears Hote Hai Toh Comment Kar Ke Jarur Share Kariyega.

Indian Swimming Ki News And Swimming Se Related Amazing Tips Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Jrur Like Kar Le.

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »