Aap Bhi Ek Perfect Workout Bana Skte Hai – Jarur Pdhe

Hello Swimmers, Phle To Sorry Jo Itna Din Gap Ho Gya. Lekin Fir Se Mai New Article Ke Sath Hazir Hu. To Bina Kisi Deri Ke Shuru Karte Hai Aaj Ka Article. To Aaj Ka Article Hai Ki Aap Kaise Khud Ek Best Workout Prepare Kar Skte Hai, Thoda Surprising Hai Na? Ki Aap Bhi Ek Perfect Workout Prepare Kar Skte Hai, Actually Ek Workout Tab Accha Mana Jata Hai Jab Us Workout Me Sare Points Bhi Cover Ho Aur Jyada Length Ka Bhi Workout Na Ho, For Example Agar Aap Koi Workout Bnate Hai Aur Usme Mainly Long Sets Hai Ya Koi Ek Hi Pattern Ka Workout Hai, To Aap Ye Maan Ke Chliye Ki Shuru Me To Thoda Improvement Uss Workout Se Aapko Dikhega Fir Wo Improvement Ruk Sa Jayega Kyuki Fir Body Uss Workout Ki Aadi Ho Jayegi Or Swimmers Ki Musceles Par Bhi Usi Workout Ke Liye Sets Ho Jayegi, To Har Din Ka Workout Pichle Din Ke Workout Se Different Hona Chahiye. And Apko Ek Kaam Ye Karna Hai Ki Aap Observe Kriye Ki Swimmers Kya Galti Kar Rhe Hai Aur Use Note-Down Kar Le Fir Uss Part Par Thoda Research Kre Aur Usko Improve Karne Ke Liye Kuch Sets Dale. Isi Tarah Dhire Dhire Aap Ko Khud Dikhega Ki Swimmers Me Improvement Ho Rha Hai. Maine Jitne Bhi International Swimmers Se Baat Kari Hai Lagbhag Sabne Yahi Advice Di Hai Ki Workout Ka Pattern Rooj Ek Jaisa Nahi Hota Hai.

Or Ha Swimming Ek Aisa Sports Hai Jisme Aapko Experiment Karke Dekhna Pdta Hai Ki Kis Chiz Se Kya Effect Ho Rha Hai, Usse Ek Achha Workout Tyar Karne Me Kafi Help Milti Hai. Or Ha Aap Swimswam Hindi Ka Whatsapp Group Jarur Join Kare Kyuki Waha Apko Kafi Sare Coaches Aur Expert Mil Jayenge Jo Aapki Help Krenge, Aap Apne Questions Waha Dale Discuss Kre. Mai Article Ke Last Me Whatsapp Link Or Number Dono Add Kar Dunga Aap Waha Se Add Ho Skte Hai.

Now Dusre Point Ko Dekhte Hai, Aapne Aise Swimmer Ko Jarur Dekha Hoga Jo Jyada Gym Nahi Jata Jyada Workout Nahi Karta Lekin Fir Bhi Wo Baki Swimmers Ko Accha Competition Deta Hai, Aisa Kyu ??

Aisa Isliye Kyuki Use Pta Hai Ki Jo Chiz Wo Correct Technique Se Kar Skta Hai Wo Sayad Gym Jakar Weight Uthane Se Nahi Ho Skti, Isliye Workout Me Technique Par Khas Dhyan Hona Chahiye. Lekin Yaha Ek Bonus Point Ye Hai Ki Agar Aapne Techniques Par Pakad Bna Li To Aap Gym Join Kre Kyuki Technique + Gym Aapko Ek Kafi Surprising Result De Sakta Hai. Ye Sab Bahut Choti Choti Chize Hai Jo Koi Aapko Btayega Nahi Balki Aapko Khud Observe Krni Pdegi.

I Hope Ki Ye Article Pdhne Ke Baad Apko Samjh Me Aa Gya Hoga Ki Ek Accha Workout Kaise Bnaya Ja Skta Hai Agar Aapko Workout Bnane Me Dikkat Ho To Aap Use Mere Whatsapp Number Par Share Kare. Agar Ye Article Pasand Aya Ho To Iss Article Ke Niche Comment Me Likh Kar Jarur Btaye.

Join Us:-

 

 

Rules:-

  • Sirf Swimming Related Topic Hi Group Me Dale.
  • Swimming Related Questions Ya Apni Swimming Video Group Me Share Kar Skte Hai
  • Swimming Ke Alawa Koi Bhi Message Krne Wale Ko Group Se Remove Kar Diya Jayega

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »