Swimmer Ke Sabse Khas Friend Hota Hai Swim Friends

Agar Apke Dost Swimming Nahi Krte Hai To Wo Apko Kabhi Nahi Samajh Payenge. Aap Roj Ghanto Apne Swim Friends Ke Sath Pool Me Wakt Gujarte Hai Aur Jis Pain Se Aap Gujrte Hai Same Usi Pain Se Apke Swim Friends Bhi Gujrte Hai Isliye We Ek Swimmers Ki Problem Ko Jante Hai. Swim Friends Normal Friends Se Kafi Had Tak Alag Hote Hai Normal Friends Kabhi Apki Chlorin Ke Smell Ko Nahi Accept Krenge Jabki Ek Swim Friend Ke Liye Ye Smell Ekdam Se Normal Hai.

Ham Swimmers Jante Hai Ki Swimming Kitni “Brutal”(Nirdayi) Hai. Swimming Ek Aisa Sports Hai Jisme Swimmer Or Swimming Ka Love Or Hate Jaisa Relationship Hota Hai. Kisi Time Apko Swimming Se Ekdam Se Love Ho Jata Hai Or Kisi Time Aap Khud Se Hi Puchte Hai Ki Maine Swimming Join Hi Kyu Ki Aur Aisa Hmesa Se Har Swimmer Ke Sath Hota Aya Hai.

Halaki Swimming Ek Tough Sports Me Se Ek Hai Lekin Hmesa Apne Aas Pass Swim Friends Ke Hone Se Aapko Kabhi Negative Thought Aayega Hi Nahi, Jabki Normal Friends Aapko De-Motivate Karke Swimming Chodne Par Majbur Bhi Kar Skte Hai.  

Swim Friends Hone Ki Khas Baat :-

  • Ve Kabhi Nahi Khenge Ki Tum Dinbhar Me Itna Khana Kyu Khate Ho
  • Ve Apki Life Happiness Ne Bhar Dete Hai
  • Ve Apke Best Or Worst Dono Chiz Ko Smjhte Hai
  • Ve Swim Lengo Ko Samjhte Hai

 

Ve Kabhi Nahi Khenge Ki Tum Dinbhar Me Itna Khana Kyu Khate Ho

Swim Friend Ke Tarah Or Koi Dusra Friend Ye Baat Nahi Smjh Skta Ki Swimming Ke Baad Ki Bhuk Kitni Hoti Hai Lekin Ek Swim Friend Jab Bhi Aapke Sath Hota Hai To Ye Maan Ke Chliye Ki Us Mulakat Me Food Bhi Shamil Rhega.

Ve Apki Life Happiness Ne Bhar Dete Hai

Koi Fark Nahi Padta Ki Swim Set Kitna Hard Ya Kitna Bhyanak Hai, Ek Swim Friend Hamesa Apko Motivate Or Positive Rakhne Ki Kosis Krta Hai. Or Ek Normal Friend Us Set He Hardness Ko Smjh Bhi Nahi Skta.

Ve Apke Best Or Worst Dono Chiz Ko Smjhte Hai

Ek Swim Friend Apke Har Side Ko Janta Hai. Chahe Wo Apke Bekar Timing Ki Ho Ya Medal Pane Ki Khusi Ek Swim Friend Sari Chizo Ko Ghrayi Se Janta Hai.

Ve Swim Lengo Ko Samjhte Hai

Jise Swimming Nahi Aati Wo Kabhi Swim Lingo Ko Nahi Smjh Skta. Non-Swimmers Kabhi Nahi Smjh Skte Hai Ki Ye Bottom Or Top Ka Matlb Kya Hota Hai. Zipper Drill Kya Hai, Negative Splitting Kya Hai Aur Aap Ye Sab Baat Non-Swimmer Friend Se Kar Bhi Nahi Skte Kyuki Jab Ye Baat Aap Karne Ki Kosis Karenge To Non-Swimmers Friends Bilkul Nahi Samajh Payenge Ki Aap Kis Bare Me Baat Kar Rhe Hai.

Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- Swimswamhindi

 

इनको भी जरुर पढ़े:-

 

 

 

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »