Nearly Two Years Pahle, Five-Time Olympic Champ Aur Eleven-Time World Champ, United States Ki Missy Franklin Ne 23 Ki Age Mei Apni Retirement Announce Kar Di Hai.
Tab Se, As A USA Swimming Foundation Ambassador Aur Laureus Academy Member Ki Tarah Franklin Philanthropic Front Par Active Rahi Hai. Aur Ab Retirement Ke Baad Apni Injured Body Ki Wajah Se Wo Water Mei Jyada Active Bhi Nhi Rah Payengi.
People Magazine Se Recently Hi Baat Karte Huye Unhone Kaha, “Mere Shoulders Mei Itna Pain Rhta Hai Ki Ab Mai Shayad Sirf 20, 30 Minutes Ke Liye Hi Water Mei Swim Kar Paau, Kyu Ki Is Point Par Mera Old Broken Shoulder Itna Hi Handle Kar Sakta Hai.”
Jab Unse Ye Pucha Gaya Ki Kya Aap Future Mei Phir Se Competitive Swimming Mei Return Aayengi? To Unhone Sidhe Kaha Ki “Absolutely Not”. Frankly Ne Kaha Ki “Mujhe Lagta Hai Ki Maine Apna Sab Kuch Sport Ko De Diya Hai Jitna Mai De Sakti Thi Aur Ab Water Ke Bahar Accha Karne Ki Baari Hai.
“Maine Pahle Second Shoulder Ki Surgery Nahi Karai Jiski Mujhe Jarurat Thi But Abhi Hi Karai- Mujhe Nhi Lagta Ki Is Point Par Mai Water Mei Wapas Aauungi Yhi Mere Physical Aur Mental Health Ke Liye Best Hai.”
2012 Aur 2013 Ke Beech, Franklin, History Mei One Of The Most Dominant Female Swimmers Mei Se Ek Thi, 2012 Olympic Games Mei Unhone Four Gold Medals Aur Ek Bronze Medal Jeeta Tha. Aur 2013 World Championships Mei Unhone Seven Events Mei Six Gold Medals Jeetkar Record Banaya Tha.
2014 Ki Pan Pacific Championships Mei Hui Back Spasms Ne Unki Journey Par Rok Laga Di, Jiski Wajah Se Unki 2015 Mei Hui World Championships Ki Performance Bhi Individual Silver Aur Bronze Tak Hi Rah Gai Aur Isme Three Relay Medals Additional The. Franklin Ne 2016 U.S. Olympic Team To Bana Di But Individually Koi Medal Nhi Jeeta. Unhone As A Prelims Swimmer 4*200 Free Relay Mei Gold Jeeta.