Miliye CWG 2010 Ke Medalist Para Swimmer Prasanta K. Se – Indian Swimming News

2010 Commonwealth Games Jo Ki Delhi Mei Hua Tha Usne Indian Sports Ke Kafi Saare Behatreen Superstars Ki Rise Ko Dekha. Indian Players Ne 101 Medals Jeete Jisme Se 38 Gold, 27 Silver Aur 36 Bronze Medal Ko Jeet Kr Apni Best Performance Display Kiya. Ye Phli Baar Hua Tha Ki Jab India Ne Kisi Quadrennial Event Mei 100 Se Jyada Medal Jeeta Tha.

Jin Logon Ne Delhi Mei History Create Ki Thi Usme Se Ek Prasanta Karmarkar Bhi The. Aaj Ki Date Tk Prasanta Ke Dwara Jeeta Gya 50m Freestyle Mei Bronze Medal India Ke Dwara Jeeta Gaya Eklauta Commonwealth Games Medal Hai Para-Swimming Mein.

But, Kya Aapko Pata Hai Ki Prasanta Karmarkar Para-Swimmer Hai?

Unka Right Arm Unki Early Life Mei Hi Kat Gya Tha Yaha Tak Ki Delhi Games Ke 2 Months Phle Tak Unke Paas Koi Swimming Clothes Bhi Nhi The. But, Phir Bhi In 29-Year-Old Ne Sbhi Odds Ke Baad Bhi Us Year Swimming Mei Medal Clinched Kiya.

Wo 27.48s Ki Timing Ke Saath Third Position Pr Aaye The. Wo Australia Ke Mathew Cowdrey Ke Piche The Jinhone 25.33s Ki Timing Ke Sath Gold Medal Jeette Huye World Record Bhi Post Kiya.

Delhi Games Toh Inke Liye Bss Ek Shuruwat Thi. Baad Mei Prasanta Ne 2010 Asian Games Ke 50m Freestyle Aur 200m Individual Medley Mei Silver Aur Bronze Medal Apne Naam Kiya. Unhone 50m Butterfly, 50m Backstroke Aur 50m Breaststroke Mei Asian Record Bhi Hold Kar Rkha Hai. Unhone India Ko Internationally Bhi Represent Kiya Hai 13 Years Se Jyada Aur Paralymping Swimming Mei India Ke Liye 44 Medals Bhi Collect Kiye Hai.

Active Sports Se Retirement Lene Ke Baad Wo 2016 Rio De Janerio Paralympics Mei Indian Paralympic Swimming Team Ke First Coach Bnn Gye The.

Prasanta Karmarkar Ko 2011 Mei Arjuna Award Se Honoured Kiya Gaya Tha. Unhe Major Dhyan Chand Sports Award (2015), Bhi Awardee (2014), Kolkata Shree Awardee (2010), 2011 And 2014 Jaise Awards Mil Chuke Hai.

Koi Bhi Indian Swimmer Chahe Wo Able Bodied Ho Ya Phir Para Ho Usne Kbhi Bhi Prasanta Karmarkar Ki Commonwealth Games Ki Medal Winning Streak Ko Manage Nhi Kr Paaya Hai Jbki Unhe Delhi Games Mei Medal Jeete Huye 12 Saal Se Jyada Ho Gye Hai.

Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »