Srihari Nataraj, Jinhone 50m, 100m, Aur 200m Backstroke Mein National Record Holder Hai. Unhone Kaha Ki Khelo India Youth Games, Talent Spot Karne Ka Ek Badhiya Initiative Hai. Nataraj Ne Iske Pahle Do Editions Mein Participate Kar Chuke Hai Aur Iske 3rd Edition Ke Liye Prepare Kar Rahe Hai. Jo Ki Guwahati Mei Start Hone Wale Hai 10th January 2020 Se 22nd January 2020 Tak.
“Khelo India Games Government Ke Dwara Liya Gaya Ek Bahot Hi Badhiya Initiative Hai. Ye Har Ek Athlete Ko Chance Deta Hai Ki Wo Hare K Event Mein Participate Kar Sake. Tournamnet Ko Bahot Hi Media Attention Milta Hai, Jisse Athletes Ko Bhi Kaafi Media Popularity Milti Hai. Ye Mere Liye Ek Confidence Booster Raha Hai. Aur Talent Spot Karne Ke Liye Yah Ek Badhiyab Stage Hai.” Nataraj Ne Kaha. – TheIndianAwaaz
Nataraj, Jinhone 2 Saal Ki Age Se Hi Swimming Start Kar Di Thi. Unhone Khelo India Ke 1st Edition Mein 6 Golds Aur 1 Silver Medal Jeeta. Aur Iske 2nd Edition Mein 7 Gold Medal Jeeta. Unhone Asian Games Aur Commonwealth Games Mein Last Year Participate Kiya Tha.
“Maine 2 Saal Ki Age Se Swimming Start Kar Diya Tha. Meri Maa Mujhe Swimming Pool Mein Lekar Jaati Thi Jaha Mera Bada Bhai Swimming Karta Tha.Aur Is Tarah Maine Bhi Swimming Start Kar Di.14 Saal Ki Age Mein Maine Apne Pahle International Tournament Mein Participate Kiya Tha.Country Ke One Of The Best Swimmer Hone Mein Khushi Toh Milti Hoi Hai.Ye Wahi Chiz Hai Jiske Liye Mai Mehnat Karta Hun.” Nataraj Ne Kaha.
18 Years Ke Swimmer Ne Bataya Ki Unka Immediate Aim Hai Ki Wo Tokyo Olympic Mein Berth Book Kare. Nataraj Ka Biggest Aim Hai Ki 2024 Olympic Mein Who Gold Medal Jeete.
Indian Swimming Or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamHindi