Italy Ke Naples Me Hoga 2021 Ka ISL Ka Regular Season

International Swimming League (ISL) ne Tuesday ko announce kar diya ki season three August mei Italy ke Naples mei start hoga. ISL ne announce karne ke baad ye bhi kaha ki outstanding debts pay karne ke liye wo committed rahenge.

Pro series jo ki 2019 mei launched hui thi, usne last November mei hi kaha tha ki “past ke sabhi outstanding issues close karne ki jarurat hai” next season plan karne se pahle.

Kuch unpaid suppliers ne legal action ke naam par bhi inhe threatened kiya hai aur ISL ne is commercial difficulties ko acknowledge bhi kiya hai, wahi Covid-19 pandemic significant challenge aleady present kar raha hai.

“ISL ko major ongoing financial challenges ke chalte huye bhi, all-sports right-holders ke saath hum apne sabhi oblihations ko honour karenge wo bhi season three ke planning ke saath saath hi,” Reuters query ke response mei ek spokesperson ne kaha.

“Sabhi outstanding issues ke bawjood hum determined aur committed hai apna kaam karne ke liye.”

Club-based series mei world ke kai top swimmers the aur iske 2nd season ka final last November mei Budapest mei hua tha, jisme kai saare short-course world records bhi break huye the. ISL ne kaha ki new season same pattern mei hi 26th August se 30th September tak chalega.

Uske baad November mei three-week ka play-off phase bhi hoga jisme 10 clube mei se 8 clubs involve honge aur phir late December ya early January 2022 mei Grand Finale hoga.

Indian Swimming Ki News And Swimming Se Related Amazing Tips Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Jrur Like Kar Le.

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »