Government Ne Launch Kiya Target Olympic Podium Scheme, 14 Swimmers Shamil

Is Coronavirus Time Me Sports Se Judi Ke Rahat Ki News Aa Rhi Hai TOI Par Nikli News Jisme Btaya Gaya Ki Government Ne Target Olympic Podium Scheme(TOPS) Launched Kiya Hai Jisme Honhar Junior Athletes Ko Shamil Kiya Gaya Hai. Ye Junior Athletes 2024 And 2028 Ke Olympics Me Medals Ke Liye Tyar Kiye Jayenge. Isme Swimmer Ke Total 14 (9 Male And 5 Female) Swimmers Ko Include Kiya Gaya Hai. Athletes Ki Complete List SAI Ki Website Par Upload Kari Gyi Hai.

Government Ne Kayi Decisions Liye Jisme Iska Bhi Decision Liya Gaya Ki Athletes Ki Training Sports Authority Of India’s (SAI) ‘National Centre Of Excellence’ (NCOE) Me 1 October Se Start Kar Di Jayegi. Taki Athletes Field Training Par Wapas Aa Sake.

Jin Athletes Ko Isme Select Kiya Gaya Hai Unko 25,000Rs Ka Monthly “Out Of Pocket” Allowance Milega.

Kiren Rijiju Ne Btaya Ki Juniors TOPS Ko Bnana 2028 Ke Olympics Me Top 10 Countries Me INDIA Ko Shamil Krne Ke Liye Hai, Ek Athlete Ko Olympic Medal Ke Liye Tyar Krne Me 8 Saal Lagte Hai Aur Hmne 2028 Olympics Ke Liye Bilkul Sahi Time Chuna Hai”

Jin Junior Swimmers Ko Isme Include Kiya Gaya Hai Unke Name Niche List Me Diye Ja Rhe Hai-

Male Swimmers

  1. Srihari Natraj
  2. Kushagra Rawat 6
  3. Aryan Makhija 7
  4. Aryan Nehra
  5. Advait Page
  6. Shoan Ganguly
  7. Mihir Ambre
  8. Tanish Mathew
  9. Neel Roy

Female Swimmers

  1. Aanya Wala
  2. Apeksha Fernandes
  3. Bhavya Sachdeva
  4. Kenisha Gupta
  5. Suvarna Bhaskar

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »