2022 FRENCH ELITE CHAMPIONSHIPS
- Tuesday, April 5th – Sunday, April 10th
- Limoges Métropole, France
- LCM (50m)
- World Championships & European Championships Qualifier
- FFN Selection Policy
- Indian Swimmers Entries
- Results
2022 French Elite Championships jo ki 5 april se Limoges Metropole, France Me shuru ho chuki hai. Ye Event World Championships & European Championships Qualifier bhi hai.
Ace Indian swimmer Srihari Nataraj ne Limoges, France mei ho rhi French Elite Open Swimming Championship ke men’s 100m backstroke event mei 55.28s ki timing ke saath ‘B’ final jeet kr apne naam kr liya hai.
Swimmer | Event | Timing-Position | |
Nataraj Srihari | 100 Backstroke Men | 55.28 (1st) | |
Nataraj Srihari | 100 Freestyle Men | 50.51(10th) | |
Patel Maana | 100 Backstroke Women | 01:04.82 (18th) | |
Patel Maana | 50 Backstroke Women | 30.17 (25th) |
Is year ki apni first International meet mei compete krte huye, 21-year-old swimmer ne apne pet event ke preliminary round mei phle toh 55.88 ka time Kiya. Isme unhone 46 swimmers mei se top 10 mei bhi finish kiya but ‘A’ final ke liye cut banane mei nakamyab rhe.
Uske baad Nataraj ne heats mei 0.60s shave kr ke B final jeeta.
Bengaluru ke swimmer ka iss event mei personal best hai 53.77s jo unhone last year June mei achieve kiya tha.
100m freestyle event mei Nataraj ne 50.51 ki timing ke sath preliminaries mei 18th pr finish kiya, halaki wo finals ke liye qualify nhi kr paaye.
Olympian Maana Patel women’s 50m backstroke mei 45 swimmers mei se 25th pr finish kiya. Unhone ise finish krne ke liye 30.17 ka time liya but finals mei nhi pahoch saki.
2022 French Elite Championships Me Participate Krne Wale Swimmers:-
Nataraj Srihari | 100 Backstroke Men
100 Freestyle Men 200 Backstroke Men 50 Backstroke Men |
Gupta Kenisha | 100 Freestyle Women
50 Freestyle Women |
Patel Maana | 100 Backstroke Women
50 Backstroke Women |
- Ridhima ne SA Nationals mei gold jeeta. Junior Swim Sensation Ridhima Virendra Kumar ne South Africa National Aquatic Championship ke girl’s under-14 100m backstroke event mei gold jeeta.
- Ridhima, jinhone 9 golds aur 1 silver jeeta tha aur Nationals mei last year national record bhi broke kiya tha, unhone 1:05.37 ki timing ke sath Port Elizabeth mei podium ke top pr stand ki.
Indian Swimming News Or International Swimming News padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi