Faster Swimming Karne Ke Liye Ye 7 Fundamentals Jarur Follow Kare

Isse Farq Nahi Padta Hai Ki Aapka Stroke Aur Discipline Kya Hai, Chhahe Aap Ek Beginner Swimmer Ho Ya Phir Internationally Ranked Athlete Ho Pool Mei Improvement Karne Ka Fundamentals Sabke Liye Same Hi Rahta Hai. Ye 7 Swimming Tips Aapko Better Swimming Karne Mei Kaafi Help Karengi.

  1. Apni Technique Par Dhyan Dijiye

Pool Mei Jump Karna Aur Apni Maximum Intensity Ke Saath Kuch Sets Lagana Aapko Ek Great Workout Dega, Usme Koi Doubt Nahi Hai, But Us Swimming Mei Se Kitni Swimming Awesome Technique Ke Saath Perform Ki Gai Ye Importance Rakhta Hai. Kam Effort Aur Will Ke Saath Hum Chahte Hai Ki Hamara Performance Badhiya Ho Jaaye, Par Aisa Nahi Hota Hai. Agar Aap Serious Hai Fast Swim Karne Ke Liye To Aapko Bhi Focus Aur Interest Ke Saath Swimming Karna Bahot Jaruri Hota Hai.Jab Aap Ise Deliberately Karte Hai Toh Iska Matlab Hai Ki Aap Apne Swimming Workout Ko Effort Aur Focus Dono Ke Saath Kar Rahe Hai. 

  1. Ek Baar Mei Ek Step Le

Apne Wholesale Technique Mei Changes Laana Difficult Hota Hai Aur Isse Aap Pareshaan Bhi Ho Sakte Hai. Ek Time Mei Ek Chiz Par Focus Kariye Aur Tab Tak Karte Rahiye Jab Tak Aap Usme Expert Nahi Bann Jaate Hai, Uske Baad Hi Agli Chiz Ki Taraf Badhiye.

Conversely, Agar Aapko Apne Stroke Aur Training Ke Different Aspects Par Kaam Karna Hai To, Unhe Set Mei Separate Karte Huye Kariye.

For Instance, Apne Warm-Up Ke Time Aapko High Elbow Catch Maintain Karne Mei Focus Karna Chhaiye. Preset Ke Time Aapko Proper Body Roll Par Kaam Karna Chhaiye. Jab Ye Dono Aapki Swimming Mei Consistent Fixtures Bann Jayenge Toh Ye Aapke Regular Stroke Mei Blend Ho Jayenge.

Ek Chiz Par Focus Karo Aur Ise Pool Mei Bahot Acche Se Karo.

  1. Feedback Lo

Feedback Lena Bahot Important Hota Hai Wo Bhi Isliye Kyu Ki Abhi Aapke Saamne Kai Aise Meters Aur Yards Hai Jo Tairna Baaki Hai Aur Isme Jump Karne Se Pahle Apne Stroke Mei Sudhar Karna Fundamentally Important Hai. Aap Apne Swimming Career Mei Jitna Jyada Aage Pahuchte Jayenge Utna Hi Problem Hogi Apne Stroke Ko Improve Karne Mei.Isliye Abhi Se Is Par Kaam Karna Start Karna Hoga. Iske Liye Sabse Best Tarika Hai Ki Apne Coach Se Ya Apne Friends, Parents, In Logo Se Feedback Lete Rahiye. Isse Aap Apni Galtiyo Ko Sudhaar Payenge Aur Ek Badhiya Swimmer Banker Niklenge.

  1. Analysis Kro

Training Ke Pahle Hyped Hone Ke Liye Sabse Best Way Hai Ki Aap Apne Favorite Swimmers Ke Kuch Youtube Videos Dekh Lo. Jaise Aap Swim Karna Chahte Hai Waise Hi Other Swimmers Ko Swim Karte Huye Dekhne Se Un Movements Ko Internalize Karne Mei Help Milti Hai Jab Aap Baad Mei Water Mei Aate Hai Tab.

  1. Efficiency Ke Master Baniye

Water Resistance Provide Karta Hai. Sea-Level Par Air Se Nearly 800 Times Denser Hota Hai, Aur Isme Bhi Swimmers Continually Water Resistance Ke Against Warring Karte Rahte Hai.

Swimming Ka Matlab Hamesha Stronger Aur Jyada Powerful Banna Nahi Hota Hai, But Jyada Efficient Banna Hota Hai. Agar Aap Swimmer’s Ki Body Ko Dekhenge To Aapko Pata Chalega Ki Wo Lean Hoti Hai Aur Unhe Water Ki Density Se Battle Karne Ke Liye Banaya Gaya Hota Hai. Michael Phelps, Jo Ki 6’4” Height Ke Hai Unka Weight Sirf 190 Pounds Hi Hai.

  1. Practice Se Milegi Jeet

Agar Aapko Life Ke Kisi Bhi Aspect Mei Success Achieve Karni Hai To Practice Karna Sabse Important Hota Hai. Swimming Bhi Isi Tarah Kaam Karti Hai. Agar Aapko Isme Greatness Achieve Karni Hai To Aap Ko Apne Har Ek Stroke Ko Kai Baar Practice Karna Hoga. Jitna Jyada Practice Karenge Utna Jyada Improve Kar Payenge.

  1. Apne Progress Ko Measure Kro

Swimming Numbers Ka Sport Hai. Stroke Rates, Stroke Counts, Intervals Aur Heart Rates Ye Sab Add Hote Hai.

Isse Bhi Important Ye Hai Ki Ye Aapko Bahot Specific, Measurable Benchmarks Denge Jisse Aap Time Ke Saath Khud Ko Progress Aur Improve Kar Sakte Ho.

Swimming Ke Liye Success Mantra

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »