Backstroke Swimming Ke Liye Noseclip Ki Importance

Ek Samay Tha Jab Backstroke Swimming Karte Wakt Noseclip Lagana Uncool Mana Jata Tha Aur Abhi Bhi Kafi Jagh Ye Uncool Hi Manja Ja Rha Hai Lekin Backstroke Superstar Like Missy Franklin Or Tyler Clary Jaise Swimming Star Noseclip Ka Use Krte Hai. Or Ab Dhire Dhire Swimmers, Coaches Bhi Iski Importance Ko Smjhna Shuru Kar Rhe Hai.

Phla Advantage Noseclip Ko Use Karne Ka Ye Hai Ki Jab Nose Me Water Jata Hai Or Tab Jo Unpleasant Experience Hota Hai Usse Chutakara Milta Hai Or Pura Focus Race Par Hi Rhta Hai, Kyuki Nose Me Water Jana Or Wo Bhi Swimming Karte Wak Kafi Jyada Distracting Hota Hai Lekin Nose Clip Ka Use Karke Aap Isse Chutakara Pa Skte Hai.

Noseclip Ko Use Karne Ka Dusra Jo Advantage Jo Hota Hai Wo Hai Jab Aap Backstroke Start Lete Hai Or Back Dolphin Kar Hi Rhe Hote Hai Ki Achanak Se Apni Nose Se Water Hota Hua Air Ko Lungs Tak Jane Me Rukawat Bnane Lgta Hai Lekin Noseclip Water Ko Nostrils Tak Jane Se Hi Block Kar Deti Hai Or Aapka Focus Apni Dolphin Par Hi Bna Rhta Hai Or Aap Ek Accha Start Le Skte Hai.

Lekin Bahut Log Yaha Ye Khenge Ki Ham Nose Se Air Chodte Hue Bhi To Water Ko Nose Me Jane Se Rok Skte Hai Lekin Aapne Notice Kiya Hoga Or Nahi Notice Kiya Hai To Iss Bar Jab Pool Par Jaye To Jarur Ye Try Kriyega Ki Jab Aap Apni Nose Se Kafi High Speed Se High Volume Me Air Ko Bahar Nikalte Hai Tab Aapki Body Ek Stone Jaise Niche Ki Or Jane Lgti Hai. Jo Ki Bilkul Sahi Nai Hai.

To Backstrokers Ab Next Time Jab Bhi Jaye To Apni Noseclip Sath Me Jarur Le Jaye Or Usi Ki Sath Hi Apni Backstroke Ke Practice Kre Ho Skta Hai Ki Noseclip Lgane Se Hi Aapke Stroke Me, Underwater Me Kafi Improvement Ho Jaye.

Join Us:-

 

 

Rules:-

  • Sirf Swimming Related Topic Hi Group Me Dale.
  • Swimming Related Questions Ya Apni Swimming Video Group Me Share Kar Skte Hai
  • Swimming Ke Alawa Koi Bhi Message Krne Wale Ko Group Se Remove Kar Diya Jayega

1
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

1 Comment
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments
Swummer
6 years ago

Huh?

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »