20.08 Sec Ke Sath Jordan Crooks Ne 50 Freestyle Ka World Record Toda

2024 SHORT COURSE WORLD CHAMPIONSHIPS

Jordan Crooks ne 50 free mein 20.08 ka time laga kar World Record tod diya, jo Budapest mein SC Worlds ke prelims session mein hua. Ye un kai world records mein se ek hai jo iss competition mein prelims ke dauraan tode gaye hain.

22 saal ke Cayman Islands ke swimmer ne pichle record ko, jo 20.16 ka tha aur Caeleb Dressel ne 2020 mein banaya tha, tod diya. Crooks ne third-last heat mein yeh dhamakedar performance diya.

Unhone record se 0.08 second shave kiya aur apne pichle lifetime best 20.31, jo 2022 mein banaya tha, se 0.23 second behtar time kiya. Crooks jo pehle 50 free ke all-time 4th-fastest performer the, iss meet ke pehle 23rd seed ke saath aaye the, lekin apne zabardast performance ke saath ab world rankings mein top pe pahunch gaye hain.

Crooks ne isse pehle iss week 100 free mein bhi compete kiya, jisme unhone 45.48 ka time laga kar overall 3rd position li. Unse aage American Jack Alexy (45.38) aur Brazil ke Guilherme Santos (45.47) the.

Ab Alexy aur Santos bhi Crooks ke saath 50 free ke semifinals mein compete karenge, jahan Alexy runner-up spot pe aur Santos 6th position pe hain.

Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »