World Police Me 6 Gold, 3 Silver, 1 Bronze Ke Baad Sajan Ka Aim Tokyo 2020

The New Indian Express Ki News Report: Kabhi-kabhi, Sajan Prakash yah sab bahot hi effortlessly karte hai. 25 years Olympian ne 2019 World Police aur Fire Games mei participate kiya aur 9 events mei 9 medal jeete. Chengdu(China) mei huye event mei Sagar ne 6 Gold, 2 Silver, aur 1 Bronze medal jeeta.

Olympic Standard Time(OST) B-mark prapt karne ke baad pichle mahine Gwangju mei huye World Championships  mei Police Game bahot hi perfect time par aaya kyunki wah qualification ke baad aata hai.

“Germany aur Russia ke kuch swimmers the, jinhone fight toh ki, lekin competition ka level itna tough nahi tha, honestly,” Sajan ne Bengaluru ke Dainik se kaha.

Yah unke liye khud ko aankne ka ek mauka tha, apni techniques aur details ko better karne ka. China mei apne kaarnamo ke baad, prakash ne, 31 August, ko Bhopal mei start hone wali National Aquatic Championship ke liye Coach Pradeep Kumar ke saath kaam karne ke liye Bengaluru ke liye udaan bhari aur Prakash ne event ko OST ke A-mark par launch karne ke liye target kiya hai. “Mere paas keval ek hi target hai ki Senior Nationals mei jaau, jise A qualifying time mil sake. Is meeting mei accha perform karne se ensure hoga ki mai Bengaluru mei hone wali Asian Age Group Championship ke liye Indian team mei hun, jo ek qualifying event hai. Ghar par qualifier nischit roop se ek fayda hoga. Mera dhyan 2 events par hoga,” unhone 100m aur 200m ki butterfly events ka jikr kiya.

Kerala police dwara ek nirikshak ke roop mei shaamil kiye jaane ke baad hi Police games mei unka participation possible tha. Prakash ne 2016 ke Olympic mei participate kiya aur 5 competitions mei 5 Gold medal jeetkar 2018 National Aquatic Championship mei history create ki,unki niyukti ke baad khusiyo se jyada raahat mili hai.

“Mere paas koi savings nahi hai kyunki mujhe jo kuch bhi milta hai ya meri Maa kamati hai wah direct mere career ko banaye rakhne mei chali jaati hai. Isse kuch hadd tak help milegi lekin bahut adhik sahayata ki jarurat hai. Mai koi shikayat nahi dena chhahta,lekin athletes ko government ke support ki jarurat hai.

Prakash ab Khel Mantralay dwara sanchalit Target Olympic Podium Scheme mei nahi hai, jo India ke top athletes ko help provide karta hai. Unhe lagta hai ki yah unke liye nhi hai balki pradarshan kar rahe logo ka samarthan hai, lekin samarthan nhi mil rha.

“Mujh par bahut adhik vittiya bijh padta hai aur kuch samay mei cheezo ko prabandhit karna mushkil ho jaata hai.Lekin ye cheeze kai saalo se chal rhi hai. Mai lagataar perform kar rha hu aur shayad mai un athletes ki awaj hu jo badhiya perform kar rahe hai.” Unhe wah samarthan nhi mil raha hai jiski unhe jarurat hai. Sajan ne kaha.

Indian Swimming Or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- Swimswamhindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »