Mumbai ke Shivaji Park, Dadar ka civic-run swimming pool Thursday evening ko closed raha tha water ke green hone ki wajah se.
50m pool ke water ki quality hafte bhar se kharab thi, Jitendra Singh ne kaha, jo ki pool ke member the. “Thursday evening ko toh things puri tarah se hi kharab ho gai. Humne manager aur deputy commissioner se complained ki, but BMC ne hume seriously nahi suna.”
Diving pool ka water bhi green ho chuka hai, jise koi bhi use nahi kar sakta hai.
“Isme chlorine ka excessive use hua hai, jo ki health ke liye accha nahi hai. Humne same isi chiz ke liye Municipal Commissioner ko bhi letter likha tha,” Singh ne kaha.
Ek instructors ne bhi kaha ki, “Hum log members ko discourage kar rahe hai pool mein enter karne se, q ki agar koi drowned hota hai toh wo hume dikhega hi nahi.”
Swimming pool manager Archana Deshmukh ne kaha ki wo last week se hi Maratha Reservation ki duty par hai. “Isliye mai pool ke baare mein kuch nahi jaanti hun.”
Deputy Municipal Commissioner Kishor Gandhi ne kaha, “Humne pool ko closed kar diya tha water quality bad hone ki wajah se. Repair kiye jaane ke baad se pumps mein shayad kuch power trippings aaye hai. Pool 2 din ke baad phir se pool open ho jayega.”
Indian Swimming Or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamHindi