Swimmind Ek Behatreen Vyayam Hai Or Aapna Weight Control Karne Me Kafi Prabhavi Tarika Hai. Lekin Jo Nirantar Swimming Karte Hai Unke Liye Hair Loss Kafi Badi Problem Ban Gayi Hai, Yahi Karan Hai Ki Female Swimmers Jyada Der Tak Swimming Karne Se Thoda Jhijhakti Hai.
Baal Girne Ka Karan, Swimming Pool Ke Pani Me Chlorine Hota Hai, Jo Ki Ek Prabhavi Anti-Bacterial Or Anti Algae Hota Hai. Isse Swimming Pool Saaf Rhta Hai Par Problem Ye Hai Ki Chlorine Baalo Ko Kafi Nuksan Pahuchata Hai, Yah Balo Ko Ke “Cuticles” Ko Nasth Kar Deta Hai, Jiski Wajah Se Baal Kafi Tezi Se Jhrte Hai.
Agali Baar Jab Aap Swimming Karne Jaye To Niche Btaye Hue Tarike Ko Jrur Apnaye:-
- Head-Cap Jarur Phne
- Pool Me Jane Se Phle Baalo Ko Saaf Pani Se Bhigo Kar Cap Pahan Le.
- Pool Me Jane Se Phle Hair Conditioner Ko Lgaye.
- Egg Or Olive Oil Ka Pack Ka Bhi Istemal Kre.
- Banana Or Honey Ka Hair Pack Bhi Hai Labhdayak
Baal Jharne Ke Karan Chlorine Yukt Pani Ko Apne Baalo Se Dur Rakhne Ke Liye Sabse Prabhavi Tarika Yah Hai Ki Hmesa Head Cap Ka Istemal Kre. Head Cap Balo Ko Protect Krta Hai Or Chlorine Ko Baalo Tak Pahuchne Nahi Deta.
Baal Naturally Pani Ko Sokhte Hai Or Agar Aap Sukhe Baal Ke Sath Pool Me Utrenge To Jahir Si Baat Hai Ki Apke Baal Chlorine Ka Pani Hi Sokh Lenge Or Jo Baalo Ke Liye Problem Create Kar Dega Isliye Phle Saaf Pani Se Apne Baal Bhigo Le Jisse Baad Me Chlorine Ka Pani Baal Nahi Sokhta Or Baal Surakshit Rhta Hai.
Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- Swimswamhindi