Swimming Pools Mei Nahi Hai Coaches- Indian Swimming News

UT Administration ke paas sirf 2 coaches hai wo bhi 10 swimming pools mei jo ki swimmers ko train kar sake. Ye pools general public, professionals/amateur swimmers sbhi ke liye open kiya gaya hai.

Administration ke paas total 12 pools hai Chandigarh ke various sports complexes mei. Recent circular ke according, UT Sports department ne 10 swimming pools ki opening allowed ki hai. Halaki sirf 2 swimming pools hi aise hai jisme coaches hai aur baaki sab mei boatmen aur lifeguards hi rhte hai. Sabhi coaching centres mei coaches appoint krna possible toh nhi hai but jitne pools hai uske half coaches toh appoint kiye hi jaa skte hai

Two coaches jo ki appoint kiye gaye hai sector 23 nursery pool mei aur Lake Sports Complex mei toh wahi baaki sab centres lifeguards aur boatmen manage kr rhe hai. Two lifeguards ko Sector 23 pool par appoint kiya gaya hai aur ek ko Lake Sports Complex mei coaches ko help krne ke liye.

Sector 38, Sector 39, Sector 43, aur Sector 56 mei lifeguards ke supervision ke under run kiye jayenge aur Sector 34 & Sector 27 ko boatmen supervised karenge.  Ek lifeguard, aur ek boatmen ko appoint kiya gaya hai Sector 50 aur Sector 8 pools mei. Phir bhi administration flaunts krta hai Chandigarh ke vast infrastructure ko, pr unhe thodi attention professional coaches ko appoint krne mei bhi jo swimmers ko train kar sake.

Indian Swimming News Or International Swimming News padhne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »