Swimmers Competition Season Ko Kaise Jeet Skte Hai – Jarur Pdhe

Kaise Hai Ap Log Ap Sabhi Ne Mere Purane Articles Ko Kafi Pasand Kiya Iske Liye Thank You Maine Apne Purane Articles Mai Swimming Ki Importance Ko Btaya Hai Ki Swimming Humare Life Ka Kitna Zaroori Hissa Hai Lekin Jaisa Ki Ye Season Competition Season Hai Isliye Ye Article Bahot Hi Khas Ho Jata Hai Kyuki Iss Time Jisne Practice Acche Se Kri Hoti Hai Wo Bhi Iss Time Galtiya Kar Deta Hai Aur Mai Nahi Chahta Ki Jo Deserving Hai Use Uska Result Na Mile, Mai Aj Apko Kuch Aur Btane Ja Rha Hu Dekhiye Dosto Mai Khud Ek Swimmer Hu Aur Mai Peechle 8-9 Salo Se Regular Swimming Kerta Aa Rha Hu Lekin Kya Ap Jante Hai In 6-7 Saalo Me Maine Kafi Sare State Or National Championships Me Participate Kiya Halaki Mai Ek Average Swimmer Tha Lekin Mai Sare Competition Me Participate Krta Tha Or Best Swimmers Ko Observe Karta Tha Jo Ki Aaj Share Karne Ja Rha Hu.

Aksr Hota Ye Hai Ki Jis Chij Ko Hme Pana Hota Hai Usko Humlog Cahte Hai Ki Vo Humko Jald Se Jald Mil Jay Lekin Ye Baat Galat Hai Ap Turant Ek Perfect Swimmer Nhi Bn Sekte Apko Kisi Bhi Field Me Perfect Bnne Me Thora Time Lagta Hai Phir Cahe Vo Swimming Ho Ya Education Se Related Koi Field Ho Lekin In Mamlo Me Ek Baat Ka Kafi Dhyan Rakhna Hota Hai Ki Ap Apna Confidence Na Khoye Time Time Pr Ap Apne Ap Ko Motivate Kerte Rho Whi Kaam Kaise Karna Hai Wo Mai Aaj Apko Btaunga..

Is Bat Se Koi Inkaar Nhi Kr Sekta Ki Life Me Success Pane Ki Liye Self-Confidence Bahut Zaroori Hai Life Kisi Bhi Goal Pr Pehuch Chuke Hr Ek Aadmi Me Apko Ye Quality Dikh Jaygi Phir Cahe Vo Koi National Swimmer Ho State Medalist Ho Ya Koi Olympian Ho, Jabtak Aap Khud Ke Liye Nahi Sochenge Tab Tak Aap Khud Ko Push Nahi Kar Payenge.

Actually Hota Kya Hai Na Ki Swimmers Jab Dekhte Hai Ki Koi Dusra Swimmer Gold Medal Jeet Rha Hai To Wo Swimmer Unke Liye Future Winner Ban Jata Hai Aur Fir Swimmer Apne Bare Me Nahi Sochta Jabki Ye Galat Hai, Kyuki Aapko Dusre Swimmer Se Koi Matlb Nai Hona Chahiye Aapko Sirf Apni Performance Aur Apne Best Time Ko Todne Se Hi Hona Chahiye, Accha Ek Baat Btayiye World Ka Phla Swimmer Jo Hoga Jisne Is World Ka Phla Gold Medal Apne Name Kiya Hoga Wo Kiske Bare Me Sochta Hoga Medal Jitne Se Phle ??? Kisi Ke Bare Me Nahi, Right Kyuki Uske Phle Kisi Ne Gold Medal Jeeta Hi Nahi Hoga, To Apko Bhi Yahi Krna Hai Sirf Khud Se Competition Kariye, Mera Yakin Maniye Aap Day By Day Jab Khud Ke Time, Performance Ko Improve Krne Lag Jayenge To Aapko Pta Bhi Nahi Chlega Ki Aapne Kab Best Swimmer Ko Piche Chod Diya Hai, Sirf Or Sirf Khus Se Competition Kro Aap Kya Galat Krte Ho Kya Kami Rah Jati Hai Workout Uss Par Hona Chahiye, Naki 10000m Ek Din Me Bina Kisi AIM Ke Workout Hona Chahiye, Aap 3000m Workout Karo Lekin Ek AIM Bna Lo Ki Mujhe Ye Improve Karna Hai To Karna Hai, Fir Dekhiyega Ki Improvement Kaise Hoti Hai.

Parents Aur Coaches Ke Liye Jaruri Points:-

Maine Bahot Sare Parents Ko Dekha Hai Or Alag Alag Level Ke Competition Me Dekha Hai, Or Iss Chiz Ko Mai Iss Article Me Neglect Nahi Kar Skta Hu Kyuki Ye Bahut Important Hai, Mai Aap Sabhi Parents Or Coaches Se Request Karta Hu Ki Please Aap Apne Baccho/Students Par Gussa Karna Thoda Kaam Kar De Kyuki Jab Koi Swimmer Apni Race Me Khrab Performance Karta Hai To Use Pta Rhta Hai Ki Usne Khrab Performance Kiya Aur Wo Bhi Upset Rhta Hai Lekin Agar Aap Use Race Ke Baad Bhi Gussa Dikhayenge To Uska Mind Ek Alag Level Par Chla Jayega Jo Ki Use Demoralize Kar Dega, Aap Uske Sath Normal Rhe Aram Se Puche Ki Kya Ho Gya Kyu Stroke Gadbad Ho Gya, Kyu Last Me Finishing Theek Nahi Ho Payi, Usko Relax Krane Ka Try Kre, Ek Physical Energy Hoti Hai Jo Koi Bhi Gym Jake Hasil Kar Skta Hai Or Ek Internal Energy Hoti Hai Jo Sabko Nahi Milti, Or Wo Internal Energy Tabhi Swimmer Ko Milti Hai Jaab Aap Swimmers Ke Sath Bne Rhte Hai Usko Motivate Karte Hai Aur Jab Koi Khrab Performance Hoti Hai To Bhi Aap Use Depress Nahi Hone Dete Balki Kuch Aisa Khte Hai Jisse Usko Lge Ki Wo Next Time Kar Payega.

I Hope Ki Ye Article Aapko Pasand Aya Hoga, Iss Time Thoda Exam Ho Rha Hai Isliye Mai Itna Time Nahi De Paa Rha Hu Lekin 20 Aug Ke Baad Mai Regular Ho Jaunga.

Join Us:-

 

 

Rules:-

  • Sirf Swimming Related Topic Hi Group Me Dale.
  • Swimming Related Questions Ya Apni Swimming Video Group Me Share Kar Skte Hai
  • Swimming Ke Alawa Koi Bhi Message Krne Wale Ko Group Se Remove Kar Diya Jayega

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »