Rabindra Sarobar Me 78 Saal Ke Satyabrata Sen Ke Sath Hua Hadsa

Rabindra Sarobar Mein Swimming Karte Samay Ek 78 Years Ke Aadmi Ke Doobne Ke ek Din Baad, Lake Ke Clubs Ne Unke Safety Measures Ko Review Kiya Aur Saath Hi Saath Members Aur Swimmers Ke Saath Do’s And Dont’s Par Counseling Ki. Counseling Is Baat Par Thi Ki Paani Mein Utarne Se Pahle Aapko Kin Baato Ka Dhyaan Rakhna Chhaiye. In Fact, Ek Club Ne Wednesday Ko Ek Old Age Ke Aadmi Ko Swimming Pool Mein Jaane Se Mana Kar Diya Yah Bolte Huye Ki Swimming Karna Unke Liye Safe Nahi Hoga.

Ye Savdhaani Isliye Barti Jaane Lagi Kyu Ki Dover Terrace Ke Rahne Wale Ek Retired Engineer Satyabarata Sen Ki Tuesday Ko Lake Mein Swimming Karte Waqt Unki Doobne Se Mrityu Ho Gai Thi. Unke Post-Mortem Ki Lake Mein Doobne Ki Wajah Unke Heart Mein Enlargement Ki Wajah Btayi. “Yah Ek Unfortunate Aur Rare Incident Hai. Voh Ek Acche Swimmer The. Life Guards Novices Ke Saath Hote Hai, Jo Do Batches Mein Divided Hote Hai, Sabhi 40 Minutes Ke Liye Swim Karte Hai. 1st Batch Ka Trainer Agli Batch Ke Liye Life Saver Bann Jaata Hai Aur Ye Is Tarah Hi Chalta Rahta Hai.

Anderson House Ke Vice-President Amit Bose Ne Kaha Ki “Har Ek 20 Permanent Members Par Nazar Rakhne Ke Liye Lake Mein 4 Life Guards Hamesha Present Rahte Hai.” Sardiyo Ke Set Se Pahle October Ke Middle Se City Ke Mostly Club Aur Pools Mei Swimming Band Kar Di Gai Hai.

Toi Ko Diye Gaye Interviews Mein Mostly Clubs Ne Ye Kaha Ki, Hum Kisi Bhi New Swimmer Ko Club Mei Entry Dene Ke Liye Doctor Ka Certificate Jarur Check Karte Hai. Who Sabko Counsel Karte Hai, Chhahe Unki Age Kuch Bhi Ho Aur Unhe Advice Dete Hai Ki Agar Unhe High Bp Aur Cardiac Jaisi Koi Bhi Problem Ho Toh Unhe Swimming Pool Se Dur Rahna Chhaiye.

Calcutta Rowing Club Ke Honorary Secretary, Chandan Roy Choudhury Ne Kaha Ki “Waha Ke Pool Mein Utarne Wale Par Trainers Aur Life Guards Strict Watch Rakhte Hai. Pool Bhi 5 Feet Se Jyada Gahra Nahi Hai.”   

Indian Swimming Or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamHindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »