Paraplegic Soldiers Ne National Para Swimming Championships Mei Jeeta Medal

Guwahati Mei Recently Hi Conclude Hui 22nd National Para Swimming Championships Mei Two Paraplegic Swimmers Ne Highest Level Ka Grit Aur Determination Display Krte Huye Services Team Ke Liye Medals Jeeta.

Unki Great Strengths Mei Se Ek Hai Ki Kbhi Bhi Give Up Naa Karna Aur Unhone Ye Prove Bhi Kar Ke Dikhaya Is Competition Mein.

Sepoy Dipak Burman, Jinhe Post-Traumatic Paraplegia Hai Aur Do Baar Spinal Surgeries Bhi Ho Chuki Hai Past Mein, Unhone 100m Backstroke Mei Gold Medal Jeeta. Unhone 100m Freestyle Event Mei Bhi Apna Best Performance Diya But Isme Unhone Silver Medal Jeeta. Iske Saath Hi Unhone 50m Backstroke Event Mei Bhi Silver Medal Jeeta. Ek Hi Event Mei Three Medals Unki Mental Toughness Aur Sheer Will Ko Show Krta Hai.

“Unhe In-House Inspiration Figure Swimmer Wing Commander Shantanu Bhi Mil Gye The Jo Ki Khud Ek Ace Swimmer Rah Chuke Hai Aur National Aur International Events Mei Already Medals Jeet Bhi Chuke Hai. Inhone 2020 Mei Practice Krna Start Kiya Aur Already Hi Apni Performance Mei Excellent Progress Kar Chuke Hai. Aur Iska Result Bhi Aa Rha Hai Medals Ke Form Mein. Ye Unke Liye Badi Jeet Hai Isse Unka Overall Confidence Boost Hoga Life Mein,” Ek Senior Army Officer Ne Kaha.

Unke Buddy, Sepoy Akhil- T Ne Apni Service Disability Ke Bawjood Bhi Sbhi Odds Se Fight Kiya Aur Apni 50m Backstroke Mei Fifth Position Par Finish Kiye. Aisi Splendid Performance Unke Character Ke Majbooti Ke Bare Mei Reveal Karti Hai.

Life Ne Bhale Hi Line Of Duty Ke Time Unke Spine Mei Injury De Kar Acha Nhi Kiya Ho. Par Military Hospital Kirkee Mei Dedicated Spinal Cord Injury Team Aur Family And Friends Ke Support Ki Wajah Se Unhone Superhuman Feats Achieve Kar Liya Hai Jo Ki Kisi Able-Bodied Individuals Ke Liye Bhi Challenging Kaam Hoga.

Indian Swimming Ki News And Swimming Se Related Amazing Tips Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Jrur Like Kar Le.

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »