Palk Strait Conquer Karne Wale First Asian Para Swimmer

20 saal ke N M Dhyan Kashyap ke liye physical challenges koi badha nahi thi, unhone Palk Strait ke 29km stretch ko conquer karne wale first Asian Para swimmer ke roop me history create kar diya.

City ke national and international swimming coach Sundaresh Satyanarayana ko unke training ke liye thanks, Dhyan ki khud ki punctuality and determination aur unke parents se mile unwavering support and motivation ke liye.

Coach Sundaresh ne bataya, “Spina bifida naam ki ak congenital condition ke saath paida huye Dhyan ka hamesha se sapna raha hai ki wo ye saabit karein ki specially-abled bhi kuchh bhi haasil kar sakte hain- aur apne jaise aur logon ko bhi inspire karein.” “Unhone Sri Lanka ke Talaimannar se Tamil Nadu ke Dhanushkodi tak successfully tairkar uss sapne ko poora kiya.”

Full moon ke karan strong tides and drifts se joojhte huye, unhone subah 3:30 baje swimming start ki aur 13 April ko dophar 2:45 baje tak apne goal tak pahoch gaye- 29km ki distance 11 hours and 35 minutes me complete ki.

Bengaluru me Khelo India State Centre of Excellence ke head swimming coach Sundaresh, Asian Games- 2026, Los Angeles Olympics 2028 ke liye centre me do saal se Dhyan ko coaching de rahe hain.

Sundaresh ne bataya ki Dhyan Bengaluru me B.Com second year ki padhai kar raha hai. Usne 9 saal pahle swimming shuru ki thi. Usne 3 International championship me part liya hai aur S-10 category ke Paralympics me eight-times national medals jeete hain. Usne 100m ‘butterfly’, ‘backstroke’ aur 200m ‘freestyle’ swimming me specialise kiya hai. Wo har 6 din se 10km tak tairta hai.

Unhone kaha ki Dhyan ne Palk Strait me tairne ke mission taiyari ke liye three months tak har din 8 hours practice kiya. Indian and Sri Lankan governments, Coast guard, Immigration and customs se necessary permissions avail karne ke baad, unhone mission start kiya. Unke saath 4 boats thi, jinme ak mother boat, feeding boat, first aid boat aur ak Kayaking boat shaamil thi.

Sundaresh ne kaha, “Jab wo do saal pahle centre me shaamil huye the toh unhone iss mission ko haasil karne ki ichha express ki thi aur iske liye parallely prepare bhi ki thi.

Sundaresh 26 saalon me 5,000 se jyada swimmers ko train kar chuke hain. Unhone ab tak four international swimmers, 12 state-level swimmers and 15 international swimmers ko train kiya hai.

Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »