Ocean Boy Sagar Kamble Ne Cross Kiya English Channel, Pura Kiya Apna Dream

Sagar Kamble Jinhe India Ke Ocean Boy Ke Naam Se Bhi Jaana Jaata Hai Unhone Ek Baar Phir Se English Channel Ko Swim Kar Ke Apne Naam Ko Sahi Prove Kar Diya Hai. Unka Kahna Hai Ki, “Ye Mera Sapna Tha Ki Life Mei Ek Baar England To France Ke Is English Channel Ko Swim Jarur Karu. Finally, 21 Miles Ke Is English Channel Ko Maine Solo Swim Karte Huye 14 Hrs 48 Min Ki Timing Mei Cross Kr Liya Hai.

Mere English Channel Ko Swim Krne Ke Dream Ke Piche Jo Person Hai Unka Naam Hai Amol Jadhav. Open Water Swimming Mei Wo Meri Backbone Rahe Hai. Past 12 Years Se Mai Inke Hi Guidance Mei Open Water Swimming Kar Raha Hun Aur Inhi Ki Wajah Se Meri Life Ab Tak Open Water Ka Ek Bhi Event Failed Nhi Hua Hai. Mere Sabhi Events Mei Wo Present Rhte The Aur Mujhe Pura Support Bhi Krte The Jiski Wajah Se Mere Saare Open Water Event Successful Rahe Hai. But English Channel Ke Liye Humne Visa Ke Liye Apply Kiya Tha But Sirf Mera Hi Visa Aaya Aur Unka Pending Rah Gaya. But Unhone Ujhe Force Kiya Akele Jaane Ke Liye Aur Maine Unke Guidance Ke Under Mei Akele Hi Sab Kuch Manage Kiya. Wo Mjhe Har Din Motivate Krte The Aur Update Dete Rhte The. Isliye Ye Victory Unke Bina Incomplete Hai.

Here is Sagar’s swim track

Mere Crew Member Banne Ke Liye Syamla Goli Ko Bhi Special Thanks. Mujhe Support Krne Ke Liye Thanks Aur Swimming Ke Liye All The Best.

Mai Apne Mom, Dad, Sister, Mama, Mami Aur Mere Bhai Suniel Dada Aur Prathmesh Ko Bhi Thanks Khna Chahta Hun Hamesha Mere Saath Dene Ke Liye. Mai Apne Frnds Aditya Giram, Amit Yadav, Dipak Jangid, Prathmesh Suryawanshi, Shubhangi Kamble Aur Ashutosh Pinjan Ko Bhi Thanks Bolna Chahta Hun Hamesha Mujhe Support Krne Ke Liye.

Mere Sabhi Swimming Coaches Balaji Kendre, Tapan Panigrah, Prabir Roy, Nihar Ameen, Madhu Kumar, Vinay Marathe, Gokul Kamath Aur Amit Awale Ko Bhi Thanks Kahna Chahta Hun.

Dover Channel Training, Craig Clarke, Emma France Ko Channel Training Ke Dauran Support Krne Ke Liye Special Thanks Kahna Chahunga.

Ab Aage Kya?

Shayad Ye Meri Last Open Water Swim Ho Iske Baad Mai Koi Aur Dream Chase Karunga.

Indian Swimming News Or International Swimming News padhne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »