National Para Swimming Championship Me Maharashtra Top Par-Indian Swimming News

21st National Para Swimming Championship Ne Maharashtra Ki Dominance Ko Dekha. Maharashtra Ne Is Tournament Mei 306 Points Ke Sath Top Position Haasil Ki.  Ye Competition Paralympic Committee Of India Aur Narayan Seva Sansthan Ne Jointly Organised Karwaya Tha. Ye Competition Maharana Pratap Khel Gaon, Udaipur Mei Hua Tha. Is Competition Mei 306 Males Aur 77 Women Ne 14 Category Mei Compete Kiya Tha.

Tournament Ke Bare Mei Baat Krte Huye, Narayan Seva Sansthan Ke Global President Prashant Agarwal Ne Kaha, “Jis Tarah Tournament Organised Kiya Gaya Tha, Usse Hum Sach Mei Satisfied Hai. Last Time 2017 Mei Hamari Organisation Ne National Para Swimming Tournament Organised Kiya Tha. Hamara Motto Hai Specially Abled Children Ko Help Krna Aur Unhe Motivate Krna Life Mei Acha Krne Ke Liye. Sports Se Unhe Introduce Karane Se Wo Log Motivate Rhte Hai Aur Jeet Ke Baad Unhe Jo Praise Milta Hai Wo Unhe Uplift Krta Hai. Unhe Support Krne Ke Liye Hmne Udaipur Mei Para Sports Academy Bhi Banwai Hai. Next Year Delhi Mei Hum Ek International Level Para Swimming Event Bhi Organise Karenge.”

PCI Chairman Dr VK Dabas Ne Kaha, “ Aise Events Para Players Ki Spirit Ko Boost Krte Hai Unhe Unki Disability Ko Challenge Kr Ke New Heights Tak Touch Krne Ka Mauka Dete Hai. PCI Ko World Para-Swimming Body Ne Recognized Kiya Hai Aur Unke Results Bhi Authorised Aur Certified Hote Hai. Ye Championship Standard International Swimming Rules Pr Based Thi Jisme Automatic Officiating Equipment Ka Bhi Use Kiya Jaa Skta Hai Accurate Time Aur Distance Ke Standard Measurement Ke Liye.”

Indian Swimming News Or International Swimming News padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »