Michael Phelps Swim School Hua 1 Saal Ka – Indian Swimming News

Michael Phelps, ye name hi kaafi hai unke beech meim jo swimming ke liye passionate hai. In Former competitive swimmer ke paas kai medals aur Olympic accolades hai. Unke swimming schools ne kai saare next generation swimmers ko successfully coached kiya hai. Eastern India ka first Michael Phelps Swim School jo ki  collaboration hai Merlin Group ke sath housed kiya gaya hai aur  Princeton Club mei hai. Is year school open huye 1 saal ho gaya hai.

Michael Phelps Swimming India ne 2015 mein sub-continent mein apne first school ki journey start ki thi Merlin group ke sath collab kar ke Princeton Club mei 2022 mein. School ka objective simple tha high quality lessons aur over the top customer service provide karna.

Year-long liaison ke bare mei bolte huye, Riyaz Nazir, chief operations manager- Pan-India- Michael Phelps Swimming India ne kaha, “Michael Phelps Swim School (MPS) COVID-19 ke baad se rapidly expand hua hai, jo ye show karta hai ki swimming ka aur koi option nhi hai agar baat health benefits ki ki jaaye toh. MPS currently 20 schools operate kar raha hai all over India mein aur isne Kolkata ke Princeton Club mein around 500 customers ke sath one year successfully complete kar liya hai. Is city ne world ke first structured swim programme ko smartly respond diya hai aur aane wale years mein iski growth kai guna aur badhne wali hai.”

Pool jiski depth 3 to 5 feet hai wo outdoor mei located hai aur 20 by 13 metres hai diameter mein. Ye 7 am se 11 am tak aur 3 pm se 7 pm tak Tuesday se Sunday tak open rahta hai.

Indian Swimming Or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamHindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »