Ledecky Ne USA Olympic Trials Me 1500m Free Me Kiya Dominate

Katie Ledecky – Wednesday Ko Indianapolis Me USA Olympic Trials Me 1500m Freestyle Event Me Unhone Ak Baar Phir Shaandar Jeet Haasil Ki, Jabki Teenager Thomas Heilman 24 Years Me Team Me Jagah Banane Wale Sabse Kam Age Ke American Man Ban Gaye Hain.

Iss Week 200m And 400m Freestyle Jeetkar 4th Games Me Apni Jagah Secure Karne Ke Baad 7 Baar Ki Olympic Champion Ne 15 Min Me 37.35 Second Me 1st Place Jeet Kar Titles Ki Hat-Trick Banai, Jo Iss Saal 1500m Freestyle Me Sabse Tez Time Hai.

Iss Event Me Duniya Me Sabse Tez 18 Baar Time Lagane Ke Baad, Iss Baat Par Kabhi Koi Doubt Nahi Tha Ki Wall Tak Pahle Kon Pahochega, Ledecky Ne Har Baar Ki Tarah Swimming Ka Maximum Time Khud Aur Apni Watch Ke Saath Compete Karne Me Bitaya.

Katie Grimes Second Thi, Jinhone 20 Second Se Jada Pichhe Thi.

Iklauta Insaan Jo Ledecky Ke Performance Se Khush Nahi Tha Wo Khud 27 Year Ki Ledecky Thi.

Ledecky Ne Kaha, “ Main Aaj Raat Ko Bahot Excited Thi, Main Thoda Tez Swim Karna Chahti Thi But Main Ye Accept Karungi,” Unka Time Tokyo Summer Games Me Gold Medal Jeetne Ke Time Se Sirf .01 Second Kam Tha. “ Main Kuchh Week’s Me Better Ho Jaungi.”

“ Main Bas Ak Team Ke Roop Me Aksaath Aane Aur Ak Doosre Ko Janne, Ak Doosre Ko Push (Inspire) Karne Aur Team USA Ko Represent Karne Ke Liye Excited Hun.”

Kate Douglass Ne Shaam Ki Shaandar Shuruwat Karte Huye 100m Freestyle Me Jeet Haasil Ki, Unhone Olympians Se Full Field Se Aage Nikalte Huye 52.56 Second Me 1st Time Wall Tak Pahoch Gayi.

Torri Huske Ne Greatchen Walsh Aur Simone Manuel Se Aage Badhkar 2nd Place Haasil Kiya,  Jo 2016 Rio Olympics Me Individual Olympic Swimming Gold Medal Jeetne Wali Pahli Black Woman Hain.

Teeno Ne Hi US Relay Squad Kr Part Ke Roop Me Paris Jayengi.

 

Kuchh Hi Minutes Baad, Heilman Ne Lucas Oil Stadium Me 20k Se Jada Ki Bheed Ko Phir Se Khada Kar Diya, 17 Years Ki Heilman Ne 1:54.50 Me 200m Butterfly Jeetkar Paris Ke Liye Apna Ticket Confirm Kar Liya.

Heilman 2000 Sydney Games Me Michael Phelps Aur Aaron Peirsol Ke Baad Olympic Teams Me Jagah Banane Wali Sabse Kam Age Ke American Man Ban Gaye Hain.

Chris Guiliano Ne Men’s 100m Free Me Jack Alexy Se Aage Rahte Huye 47.38 Seconds Me Jeet Haasil Ki. Iss Event Ke Reigning Olympic Champion Caeleb Dressel Ko 3rd Place Par Aane Ke Baad Paris Me Apna Gold Medal Bachane Ka Chance Nahi Milega.

Lekin Result Itna Achha Raha Ki Dressel Ko 4th Place Par Rahne Wale Hunter Armstrong Ke Saath Relay Team Ke Part Ke Taur Pe Apne 3rd Olympic Me Part Lene Ka Chance Mila.

 

Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »