Joe Gardner Ka “Breaststroke Flipturn” : Video

butterfly ya breaststroke me flipturn krna thoda ajeeb sa lgta hai. swimmers ke dimag me jo phli baat aati hai wo ye hai ki wo disqualify ho jayenge, lekin agar aap wall ko dono hatho se touch karte hai and uske baad flipturn krte hai to ye totally legal hai and ye butterfly and breaststroke dono me kiya ja skta hai.

last month Ke Men’s Big Ten Championships me, Purdue ke Joe Gardner ko 100m breaststroke me flipturn krte hue dekha gya and flipturn dekhte hi sabhi log thoda surprise hue kyuki iske phle aisa kisi ne nahi kiya tha.

SwimSwam ki team ne gardner se baat ki or is rarely-seen technique ke bare me thoda discuss kiya, gardner ne Big tens ke 100m breaststroke me 54.49 ka time lete hue 20th place apne name ki. and agar aapko bhi wo turn dekhna ho to aap niche diye gye video me dekh skte hai(gardner screen ke bottom se first swimmer hai):

 (Video courtesy of Purdue Athletics.)

SwimSwam: Kya Flip Turn Se Aapke Timing Me Koi Improvement Hua ?

Gardner: Ha Mai Apna Time Few Tenths Se Improve Kar Paya. Lekin Mai Guarantee Nahi De Skta Ki Yw Improvement Flipturn Ki Wajah Se Hi Hai. Mujhe Lgta Hai Ki Sayad Flipturn Se Help Hui Hai But Agar Aap Practice Bhi Jyada Potential Ke Sath Ispar Work Krte Hai Tabhi Aisa Ho Skta Hai.

SwimSwam: Aapne Open Turn Ki Bjaye Flipturn Ko Kyu Choose Kiya?

Gardner: Agar Mai Sach Khu To Maine Flipturn Ko Islye Choose Kiya Kyuki Flipturn Race Ko Thoda Or Mjaedaar Bna Deta Hai And Wo Bhi Jab Ham Ise Breaststroke Ya Butterfly Me Kre Tab. Mai Kuch New Karna Chahta Tha Isliye Maine Flipturn Ka Use Kiya Ho Skta Tha Ki Mai Koi Galat Move Kar Deta But Mai Flip Turn Krne Ke Liye Pura Ready Tha. And Race Complete Hone Ke Baad Mere Face Par Smile Thi Ki “Wow… Maine Sach Me Kar Dikhaya”

SwimSwam: Tumhare Coach Ne Kya Socha Is Bare Me ? Tum Ya Tumhare Coach Kiske Pass Is Chiz Ka Idea Aya Ki Tum Flipturn Krna Chahiye?

Gardner: Mai Apne Coahc J Agnew Ke Sath Work Krta Hu And Wo Iss Turn Ko Lekar Kafi Excited The , Maine Unko Jyada Convince Nahi Kiya But Maine Unko Bas Itna Bola Ki Main Bahut Confident Hu And Mai Ye Krna Chahta Hu.

Indian Swimming or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamhindi

Join Us:-

Rules:-

  • Sirf Swimming Related Topic Hi Group Me Dale.
  • Swimming Related Questions Ya Apni Swimming Video Group Me Share Kar Skte Hai
  • Swimming Ke Alawa Koi Bhi Message Krne Wale Ko Group Se Remove Kar Diya Jayega

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »