Insidethegames Par Indian Swimming Ki Ek Behad Important News Nikli Hai Jisme Btaya Gaya Hai Ki Indian Swimming Coach Prasanta Karmakar Ne Apne 3 Year Ke Ban Jo Ki Unhe Indian Paralympic Committee (PCI) Ne Diya Tha Uske Khatam Hone Par Unhone Delhi High Court Se Appeal Kiya.
Karmakar, 2018 Mei Banned Kiye Gaye The Kyu Ki Unhe Country’s National Championships Mei Female Swimmers Ki Video Flim Karne Ke Liye Accused The.
Para-Swimmer Jo Ki Coach Ban Gaye The Unhone Claim Kiya Tha Ki Unhone Event Ke Dauran Female Swimming Ko Film Karne Se Pahle Associate Se Pucha Tha. Iske Baad Unhe Alleged Kiya Gaya Tha Ki Wo Female Swimmers Ki Filming Karte Huye Paaye Gaye The.
PCI Ne Claim Kiya Ki Karmakar Ne Official Se Argument Ke Time Video Delete Karne Ke Liye Mana Kiya Tha.
Karmakar Ne Delhi High Court Se Ban Hatane Ki Maang Ki, Kyu Ki Coach Ne Maamle Ko Jhutha Karar Diya. Unke Lawyers Amit Kumar Sharma Aur Satyam Singh Ne Former Para-Swimmer Ko Compensate Karne Ke Liye Kaha.
“Petitioner India Ke One Of The Most Decorated Athletes Mei Se Ek Hai Jinhone Country Ke Liye Kai Laurels Laaye Hai.”
“Petitioner Ka Arbitrary Aur Illegal Suspension Constitution Of India Ke Article 19(1)(G) Ke Under Aane Wale Fundamental Rights Ka Violation Karta Ho.” Unke Lawyers Ne Kaha.
Apne Coaching Career Se Pahle, Karmakar Ne India Ke Liye Kai Saare Successful Swimming Career Enjoy Kiye Hai.
Karmakar Ne 2010 Mei Delhi Mei Huye Commonwealth Games Mei Men’s S9 50 Metres Freestyle Event Mei Bronze Medal Jeeta Tha, First Medal India Ne Swimming Pool Mei Multi-Sport Event Mei Jeeta Tha.
Ye Multiple Asian Games Medallist Bhi Hai Aur Inhone 2016 Mei India Ke Para-Swimming Coach Ki Jimmedari Sambhali.
Indian Swimming Ki News And Swimming Se Related Amazing Tips Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Jrur Like Kar Le.