India Mein Swimming, Cycling Aur Wrestling Me Hogi Women’s Khelo India League

India Mein Khelo India Women’s Leagues Ki Shuruwat November 12 Se Swimming, Cycling Aur Wrestling Ke Disciplines Mei Hone Jaa Rhi Hai. Ye Tournaments Department Of Sports, Ministry Of Youth Affairs And Sports Ke Support Se Conduct Karaya Jaa Rha Hai. The Government Of India, Sports Authority Of India Ke Saath Milkar Sbhi Sports Ke Across Sabhi National Sports Federations Ko Support Kar Rhi Hai Jisse Ki Women’s League Ko Easily Conduct Karaya Jaa Sake. Isse Women Ka Promotion Aur Development Hoga Across The Country.

SWIMMING:-

Khelo India Junior Women’s Swimming Series Ka Round 2, Junior (U-18) Aur Youth (U-15) Age Categories Mei Scheduled Kiya Gaya Hai. Jo Ki Lucknow, Assam, Kerala, Ahemdabad Aur Bhubaneshwar Mei Hoga. Around 900 Competitors Expected Hai.

Is Year Ke August Month Mei Swimming Series Ka Round 1 New Delhi, Gujarat, Karnataka, Madhya Pradesh Aur West Bengal Mei Hua Tha.

Khelo India Scheme Ke Under Sports Ministry Ne 1.02 Crore Ka Total Amount Sanctioned Kiya Hai Swimming Federation Of India Ko Taaki Is Series Ko 2 Phases Mei Conduct Karaya Jaa Sake.

Round 2 Dates: Nov 12 And 13 – SAI Sports Complex, Shantinagar, Lucknow

Nov 16 And 17 – Dr Zakir Hussain Aquatic Complex, Assam

Nov 19 And 20 –  Aavy Sports Complex, Ghatodiya, Ahmedabad

Ambedkar International Aquatic Complex, Kerala

Biju Patnaik Swimming Pool, Bhubaneswar

CYCLING:-

Khelo India Women’s Cycling League Road Event Ka Zone 1 Ludhian, Kurukshetra Aur Panchkula Mei Scheduled Kiya Gaya Hai. Ye Tournament 3 Zones Ke Across Hone Wala Hai. Government Of India Ne Cycling Federation Of India Ko 19.78 Lakh Ka Total Amount Sanctioned Kr Diya Hai Taaki 3 Zones Ke Across Tournament Ko Conduct Kiya Jaa Sake.

Elite Women, Junior, Sub-Junior Aur Youth Girls Ki Categories Mei Around 2oo Cyclists Participate Karne Wale Hai Ludhiana Leg Mei.

Dates: Nov 12 And 13 – Ludhiana (Start Point: Govt Primary School In Ramgarh, Ludhiana; Turning Point: Sahibana Village | Total Distance To Cover: 4.2 Km. (One Way)- 8.4 Km One Lap)

Nov 19 And 20 – Kurukshetra

Nov 26 And 27 – Panchkula

WRESTLING:-

Khelo India Women’s Wrestling League Ka 2nd Phase 14th-15th November 2022 Ko Organized Kiya Jayega Senior Aur U-17 Categories Ke Liye Haridwar (Uttarakhand) Mein. Around 400 Wrestlers Participate Karenge, Jisme Seniors Aur Juniors Dono Honge.

National Wrestling Championship Ke Top 10 Wrestlers Aur Open National Ranking Wrestling Tournament Se Top 10 Wrestlers Tournament Ke Each Weight Category Mei Participate Karenge. Around 400 Wrestlers Participate Krne Wale Hai.

Last Month Khelo India Women’s Wrestling League Ka Phase 2 Gonda, Uttar Pradesh Mei Hua Tha U-15 Aur U-20 Categories Mein. GOI Ne 1.59 Crore Ka Total Amount Forward Kr Diya Hai Khelo India Wrestling League Ko Ko Teeno Phase Mei Conduct Karane Ke Liye. Jisme Phase 2 Aur Phase 3 Mei Top 4 Wrestlers Ko Diya Jaane Wala 55.4 Lakhs Ka Prize Money Bhi Included Hai.

Indian Swimming Ki News And Swimming Se Related Amazing Tips Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Jrur Like Kar Le.

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »