Highest Target Set Karke Apni Practice Start Kare

Agar Aap Kisi Bhi Sports Ko Join Karte Hai To Aap Kya Sochte Hai? Yahi Ki Aapko Us Sports Ke Highest Level Par Khud Ko Represent Karna Hai. Lekin Bahot Se Log Aise Bhi Hote Hai Jo Sochte To Hai Medals Ke Liye Lekin Kafi Kam Level Par. Ho Skta Hai Wo Medals Jeet Bhi Jaye Lekin Uske Baad Kya ? Uske Baad Wo Usse High Level Ke Liye Apni Tyari Krte Hai Jabki Mera Ye Manna Hai Ki Ek Sportsperson Ko Shuru Se Hi Highest Level Ko Dhyan Me Rakh Kar Apni Preparation Start Karni Chaiye, Iske Alawa Parents And Coaches Ko Bhi Isi Ko Dhyaan Me Rakh Kar Unki Preparation Krani Chahiye.

Aim Jitna Bda Hoga Pressure Bhi Utna Jyada Hoga Lekin Agar Swimmer Ke Andar Positivity Ke Sath Confidence Hai To Wo Jarur Apne Aim Tak Pahuchega. Jab Bhi Aisi Situation Aye Ki Apko Lge Ki Apka Swimmer Pressure Me Hai To Ye Aapki Duty Hai Ki Aapko Use Pressure Se Bahar Nikalna Hai. Usko Yaad Dilana Hai Ki Uska Main Aim Kya Hai Or Usne Ye Sports Kyu Join Kiya. Abto Online Bhi Motivation Ke Itne Sare Sources Hai Ki Aap Uski Help Se Apne Swimmer Ko Motivate Kar Skte Hai.

Baki Swimmers Ko Motivate Rhne Ke Liye Kuch Chizo Ka Dhyan Rkhna Chahiye Wo Mai Niche Bta De Rha Hu:-

  1. Un Logo Se Khud Ko Door Rakhe Jo Hmesa Negative Thoughts Man Me Rakhte Hai.
  2. De-Motivate Hone Ki Jagah Apni Kami Ko Note Down Kriye.
  3. Hmesa Positive Environment Me Rhne Ki Kosis Kriye

Join Us:-

·         Facebook:- Swimswam Hindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »