Euro SC 2017: Kya Peaty 100 Breast Me 56 Ke Barrier Ko Tod Skte Hai?

European Short Course Championships 2017

European Short Course Championships Ki 3rd Night Ko  Adam Peaty Ne 100m Breaststroke Ke Record Ko Apne Name Kar Liya.

Peaty Ne Apne Name 7 Sabse Fast Time Kar Liya Hai Jo Ki British History Me Phli Baar Ho Rha Hai Ki Koi Swimmer Iss Event Me 6 Fastest Time Apne Name Kar Chuka Ho. Peaty Ne 100m Breaststroke Me 56.35 Ka Time Doha Me 3 Saal Phle Diya Tha. Or 56.24 Ke Time Ke Sath Unhone Yaha Par Apna Time Improve Kiya. Peaty Akele Aise British Swimmer Hai Jinhone 57 Ke Barrier Ko Toda Ho.

All-Time British 100 Scm Breast Performances

  1. Adam Peaty, 56.24 (2017)
  2. Adam Peaty, 56.35 (2014)
  3. Adam Peaty, 56.43 (2014)
  4. Adam Peaty, 56.74 (2017)
  5. Adam Peaty, 56.84 (2015)
  6. Adam Peaty, 57.02 (2014)
  7. Adam Peaty, 57.03 (2015)
  8. Michael Jamieson, 57.52 (2013)

Peaty Ne  50 Breast British Record Ko Bhi Isi Meet Me Toda Hai. Or 100m Breaststroke Me Abhi Finals Me Peaty Ke Pass Chance Hai Ki Wo 56 Ke Barrier Ko Bhi Tod Ske. World Record Jo Ki 55.61 Ka Hai Wo Cameron Van Der Burgh Ne 2009 Ne Banaya Tha Jisko Todne Ke Liye Ab Peaty Finals Par Pura Jor De Rhe Hai.

SwimSwam Hindi News And Articles

Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamhindi

Join Us:-

Rules:-

  • Sirf Swimming Related Topic Hi Group Me Dale.
  • Swimming Related Questions Ya Apni Swimming Video Group Me Share Kar Skte Hai
  • Swimming Ke Alawa Koi Bhi Message Krne Wale Ko Group Se Remove Kar Diya Jayega

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »