Canada Summer 2020 Olympics Games Me Nahi Lega Bhag

Canadian Olympic Committee first national Olympic committee bann gai hai jisne ek strict line draw kar di hai summer Olympic games ke liye aur unhone kaha hai ki July 2020 se start hone wale Tokyo 2020 Olympic games mei wo participate nahi karenge. Ye news email se aai hai aur expect kiya jaa raha hai ki ye jald hi publicly bhi announce kar di jayegi.

“Canadian Olympic Committee (COC) & Canadian Paralympic Committee (CPC), ne difficult decision liya hai ki Canadian team ko Olympic & Paralympic Summer Games 2020 mei nahi bhejne ka aur unke is decision ko unke athletes, commissions, National Sports Organizations aur Government of Canada ne support kiya hai.

“COC and CPC ne urgently International Olympic Committee (IOC), International Paralympic Committee (IPC) and World Health Organization (WHO) ke sath baat kiya aur Games ko one year ke liye postpone karne ko kaha aur sabhi complexities jo bhi games ko reschedule karne mei aayegi usko navigate karne mei wo apna full support offer karenge,

Unhone aage kaha ki “Hamare athletes aur world community ki health aur safety se jyada important kuch bhi nahi hai.”

Canada ne 2016 Summer Olympic Games mei 22 medals jeeta tha jisme 4 gold, 3 silver, aur 15 bronze medal the. Jisme 6 medal swimming mei tha, aur yah 1984 Olympic Games ko boycott karne ke baad se sabse jyada medal tha. Winners mei Penny Oleksiak bhi thi, jo ki 16 years old Canada ki youngest Olympic champion bann gai thi. Wo pahli Canadian bann gai thi jinhone summer games ke single edition mei 4 Olympic medals jeeta tha.

Sunday ko jab IOC ne four-week evaluation period announced kiya ki wo Olympics ko postpone karenge ya jo schedule july ke liye hua hai usme hi rakhenge. Aur iske baad Canada ki taraf se ye move aaya.

Canada mei coronavirus ke 1,328 confirmed cases hai jisme se 14 logo ki death ho chuki hai.

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »