Ask Swim Mom: Mere Parents Mujhe Embarrass Karte Hai

Dear Swim Mom,

Mujhe Aapki Help Chhaiye. Mere Mom Aur Dad Meri Saari Practices Mei Aate Hai Aur Stand Mei Baith Kar Mere Saare Match Dekhte Hai. Abhi Wo Covid-19 Mei Se Lage New Rule Ki Wajah Se Nhi Aa Paate Hai. Mai Un Bachcho Mei Se Hu Jinke Parents Har Din Aate The.Unhe Aisa Lagta Tha Ki Wo Volunteering Kar Ke Meri Help Kar Rahe Hai But Wo Meri Team Ko Take Over Kar Lete The. Phir Meets Mei, Wo Mere Liye Itna Zor Se Chillate The, Jo Ki Kaafi Embarrassing Hota Tha.Mai Unki Feelings Hurt Karna Nahi Chahta Hun, But Mai Unhe Kaise Stop Karu?

-Embarrased Swimmer

 

Dear Embarrased Swimmer

Sabse Pahle Toh Mujh Tak Pahochne Ke Liye Thanks. Mai Sure Hu Ki Tumhara Letter Aur Bhi Parents Ko Ye Realize Karwayega Ki Unke Actions Unke Kids Ko Bhi Embarrasses Karte Honge. As A Parents Jise Apni Team Ke Liye Volunteer Karna Aur Help Out Karna Bahot Pasand Tha, To Mujhe Aisa Lagta Tha Ki Mai Apne Team Ki Help Kar Rahi Hun But Mai Ye Sochti Hi Nahi Thi Ki Mere Actions Mere Kids Ko Affect Kar Rahe Honge.

Hume Ye Khud Ko Yaad Dilana Hoga Ki Swimming Hamare Children’s Ka Sport Hai. Wo Thik Hai Ki Hum Supportive Aur Involve Hona Chahte Hai But Agar Hamara Involvement Unhe Negatively Affect Kar Raha Hai Toh Hume Ruk Jaana Chhaiye.Mere Kids Ne Is Baare Me Mujhe Tab Tak Nhi Bataya Tha Jab Tak Unhon Age Group Swimming Chhod Nahi Di Thi. I Wish Ki Wo Mujhse Ye Sab Bata Dete Par Mujhe Lagta Hai Ki Wo Bhi Tumhari Tarah Hi Mujhe Hurt Nahi Karna Chahte The.

Meets Mei Cheer Krne Ki Baat Hai Toh, I’m Sure Tumhare Mom Aur Dad Bahot Excited Hote Honge Tumhe Swi Karte Dekh. Jab Parents Stand Mei Baith Kar Apne Bachcho Ko Swim Karte Huye Dekhte Hai Toh Wo Thoda Crazy Ho Jaate Hai. Jab Kabhi Aapne College Mei Swim Kiya Hoga Toh Jarur Notice Kiya Hoga Ki Wo Puri Preparation Ke Saath Stands Mei Aa Jaate The Tumhe Cheer Karne Ke Liye Aur Tumse Bhi Jyada Enthusiastic Rahte Honge. Agar Tumhe Ye Sab Sach Mei Annoying Lagta Hai Aur Tumhari Performance Par Affect Karta Hai Jiski Wajah Se Tumhe Stress Hota Hai Toh Tumhe Best Chiz Jo Karni Chhaiye Wo Ye Hai Ki Unhe Bata Dena Chhaiye. Wo To Tumhara Best Hi Chahte Hai Isliye Wo Tumhare Liye Is Baat Ko Bhi Maan Lenge. Swimming Karte Samay Tumhe Maza Aana Chhaiye Aur Parents Kabhi Bhi Nhi Chahyenge Ki Tumhe Accha Nhi Lage.

I Hope Ki Mai Helpful Rahi Hun Aur Tumhare Letter Ke Liye Thank You. As A Former Age Group Parent Ye Mere Liye Bhi Eye-Opening Tha.

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »