2022 COMMONWEALTH GAMES
- Friday, July 29 – Wednesday, August 3, 2022
- Birmingham, England
- Sandwell Aquatic Center
- Start Times
- Prelims: 10:30 am local / 5:30 am ET
- Finals: 7:00 pm local / 2:00 pm ET
- LCM (50m)
- Meet Central
- Event Schedule
- Entry List
- Live Results
CWG 2022 Me Aaj Swimming Me India Ki Taraf Se Aaj Jin-Jin Swimmers Ne Participate Kiya Tha Unme – Sajan Prakash, Kushagra Rawat And Srihari Nataraj Shamil The. Teeno Swimmers Me Se Srihari Ne 100m Backstroke Me Overall 5th Fastest Time Ke Sath Semifinal Me Apni Jagah Bnayi and semis ke baad wo 7th fastest time ke sath finals me bhi apni jagah bnane me kamiyab rhe.
Men’s 100m Backstroke Heat
Swimmer | Event | Time and ranking |
Srihari Nataraj | Men’s 100m Backstroke | 54.68 (5th) qualified for Semifinal |
Heats Ke Baad “Janta Ka Reporter” Se Exclusively Baat Karte Hue Nataraj Ne Kaha Ki Abhi Semis Me Wo Bahut Hopeful Hai.
Reporter Rifat Jawaid Ke Jab Ye Kaha Ki “India Swimming Ke Powerhouse Ke Liye Nhi Jana Jata Hai” To Iske Reply Me Srihari Ne Bola Ki “Mai Isko Change Krne Ke Liye Aaya Hu And Ye Change Jrur Hoga, Hmare Pass Ek Bahut Hi Badhiya Team Hai Sath Hi Sath Abhi Aane Wale Upcoming Kids Bhi Is Change Ko Lane Me Jarur Apna Yogdan Denge”
Srihari Nataraj In Semifinal
India Ke Best Backstroke Swimmer Srihari Nataraj CWG 2022 Ke Day Par Hi Men’s 100m Backstroke Me Apni Heat Me Top 3 Jagah Bnate Hue 54.68 Ke Time Ke Sath Semifinals Me Apni Jagah Confirm Ki Thi Unhone Overall 5th Best Time Ke Sath Apni Jagah Semifinals Me Bnayi.
MEN’S 100 BACKSTROKE – SEMI-FINALS
- Commonwealth Record: 52.11, Mitch Larkin (AUS), 2015 FINA World Cup – Dubai
- Commonwealth Games Record: 53.12, Chris Walker-Hebborn (ENG), 2014
- 2018 Commonwealth Champion: Mitch Larkin (AUS), 53.18
Srihari Nataraj’s Performance
Finals Qualifiers:
- Pieter Coetze (RSA), 53.67
- Brodie Williams (ENG), 54.00
- Andrew Jeffcoat (NZL), 54.01
- Bradley Woodward (AUS), 54.02
- Luke Greenbank (ENG), 54.23
- Mitch Larkin (AUS), 54.26
- Srihari Nataraj (IND), 54.55
- Joshua Edwards-Smith (AUS), 54.78
Semifinals Me Apne Heat Ke Time Ko 0.13 Sec Se Improve Karte Hue Srihari Ne 7th Fastest Time Ke Sath Apni Jagah Final Me Bnayi.
Srihari Ka Abhi Tak Ka Best Time 53.77sec Ka Hai Jisko Dekhte Hue Abhi Bhi Indians Me Hope Hai Ki Wo Is Time Ko Break Krke India Ke Liye Swimming Me First Medal La Sakte Hai.
Indian Swimmers ke CWG 2022 ke Schedules aur Results:- SwimSwam Hindi
Indian Swimming Ki News And Swimming Se Related Amazing Tips Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Jrur Like Kar Le.