2024 Me “Har Ghar Swimmer”

Kya Aapke Family Me Kisi Ko Swimming Karna Aata Hai? Mera Aisa Question Isliye Hai Kyuki Agar Aap Google Par Search Karenge Ki “Drowning Case Near Me” To Jyada Chances Hai Ki Aako Apke City Ki Hi Koi Recent Ki News Mil Jaye. And Aap Kabhi Nahi Chahenge Ki Aisa Kabhi Aapki Family Me Kisi Ke Sath Ho. Aksar Ham Khule Pani Me Snan Krne Jate Hai Ya Garmiyo Me Dosto Ke Sath Thoda Masti Karte Hai Lekin Ye Masti Kab Janleva Hadse Me Sabit Ho Sakti Hai Iska Andaza Koi Bhi Tabtk Nhi Lga Sakta Jabtk Wo Hadsa Ho Na Jaye. Lekin Isse Bacha Jarur Ja Skta Hai Wo Bhi Sirf Apni Life Ka 30-40 Din Dekar.

30-40 Din Me Aap And Apki Family Ka Koi Bhi Member Swimming Sikh Skta Hai And Swimming Sikhne Ka Matlb Sirf Physical Fitness Hi Nahi Balki Ek Lifeline Bhi Hai.

Maine Bahut Se Logo Ko Ye Kahte Suna Hai Ki Wo Kabhi Pani Me Jayenge Hi Nhi And Jab Jayenge Hi Nahi To Dubne Ka Koi Sawal Hi Nhi Hota Hai. Un Sabse Sirf Ye Question Hai Mera Ki Jo Log Gujrat Ke Morbi Bridge Par Raat Me Apni Family Ke Sath Gye The Wo Bhi To Ye Soch Kar Gye The Ki Safe Hai Lekin Bridge Achank Se Tut Jata Hai And Lagbhag 135 Log Se Bhi Jyada Log And Kayi Families Dub Jati Hai. Unme Se Hi Kuch Aise Log Bhi The Jinko Thodi Bahut Swimming Aati Thi And Wo Jaise Taise Swimming Karke Apni Jaan Bachane Me Kamiyab Bhi Ho Gye.

To Har Insaan Ko Kamse Kam Itni Swimming Aani Chahiye Ki Wo Atleast Apni Jaan To Bacha Hi Sake. Swimming Sikhne Me Muskil Se 30 Se 40 Din Hi Lagte Hai And Daily Sirf 1hr Dena Hota Hai. Aur Sabse Badi Baat Swimming Sikhne Se Apki Body Par Sirf Or Sirf Positive Effect Hoga Kyuki Swimming Apne Aap Me Hi Ek Complete Exercise Hai.

And Agar Aap Swimming Karna Jante Hai To Apne Ghar Me Bakiyo Ko Bhi Swimming Sikhne Ke Liye Bole. Aksar Kya Hota Hai Ki Garimyo Me Bachho Ko Nahana Bahut Pasand Hota Hai And Nadi Me Swimming Kar Rhe Baccho Ko Dekh Kar Baki Bacche Bhi Influence Ho Jate Hai And Bina Swimming Jane Pani Me Utarne Ki Kosis Krte Hai And Isi Kosis Me Wo Dub Bhi Jate Hai.

Ye Sab News Unreal Lagti Hai Lekin Jab Reality Me Ho Jati Hai Tab Hme Andar Se Feel Hota Hai Ki Kash Kuch Din Nikal Kar Swimming Classes Join Krwa Deta/Deti To Ye Dekhne Ko Na Milta. Isliye Kosis Kriye Ki Apne Ghar Me Sabko Swimming Sikhne Ke Liye Motivate Kre And Life Se 30-40 Din Dekar Apni Life Safe Kare.

Indian Swimming Ki News And Swimming Se Related Amazing Tips Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Jrur Like Kar Le.

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »