Har Summer, Drowning Ki Wajah Se Kerala Deaths Mein Spurt Witness Karta Hai.Inme Se Jyadatar Cases Mein, School And College Hote Hai Jo Ko Youth Ko Summer Vacations Enjoy Karne Dete Hai Aur Yhi Victims Hote Hai. Halaki, Inme Se Kai Saari Deaths Ko Avoid Kiya Jaa Sakta Tha Agar Victims Ko Properly Swimming Aati Hoti Toh. Isko Realise Karte Huye, Saji Vallassery Ne 2010 Se Free Swimming Lessons Impart Karna Start Kar Diya Tha.
Unki Latest Batch Ne Sunday Ko Passed Out Kiya Wo Bhi Kaise! Is Batch Mein 141 Trainees The Aur Unhone Aluva Mein Periyar River Ke Across Swim Karke Apni Training Ke End Ko Mark Kiya. “Ye Is Season Ki Last Batch Thi Jo Ki Novemver Mein Shuru Hui Thi,” Saji Ne Kaha. Saji Ne Ab Tak Around 8,000 People Ko Trained Kiya Hai Jo Ki Different Ages Aur Backgrounds Se Belong Karte Hai. 8,000 Mein Se He 10 Swimmers Differently-Abled Bhi The.
“Unhone Sirf Training Hi Complete Nhi Ki Hai, Periyar Ke Across Swim Bhi Kiya Hai,” Unhone Kaha.1,620 People Aise The Inme Se Jo Ki Six And 53 Years-Old Ke Beech Ke Jo Is Latest Season Mein Inke Under Trained Huye Hai. “Imme Students, Government Officials Jaise Ki Tahsildars Aur Policemen Bhi Included Hai,” Saji Ne Kaha Jinhone Deputy Collectors Ke Sath Kai Saare High-Ranking Officials Ko Already Trained Kiya Hua Hai.
Ab Saji Ki Planning Hai Apne Students Ko Different Types Of Water Bodies Mein Trained Karke Unke Horizon Ko Expand Karna. “Hamara State Different Types Of Water Bodies Se Blessed Hai. Hamare Paas Rivers, Lakes Ke Sath Sath Big Coastline Bhi Hai Aur Sabki Apni Characteristics Bhi Hai. Training Ki Wajah Se Hi Ek Swimmer Apni Characteristics Ko Identify Karke Uske According Act Kar Sakta Hai, Saji Ne Kaha.
Unhone Kaha Ki Jinhone Bhi Training Le Is Leg Mein Participate Kiya Tha Unhe Sea Swimming Mein Kuzhuppilly Beach,Vypeen Mein Swimming Classes Di Jayegi. “Participants Ko Coast Se Around 4km Tak Swimming Krna Hoga. Boats Aur Trained Swimmers Unhe Accompany Karenge.” Saji Ne Add Karte Huye Kaha Ki Sirf Wahu Swimmers Jinhone Periyar River Ko Bina Kisi Issue Ke Cross Kar Liya Tha Un Swimmers Ko Hi Sea Swimming Training Mein Participate Karne Ke Liye Allow Kiya Jayega.
“Sea Mein Currents Aur Other Factors Ko Tackle Karna Bahot Tough Hota Hai,” Unhone Kaha. Ek Baar Swimmer Jab Training Complete Kar Lete Hai Toh Unki Services Ko Available Kar Diya Jaata Hai Unlog Ki Help Karne Ke Liye Jo Ki Distress Mein Hote Hai, Saji Ne Kaha. Unhone Add Karte Huye Kaha Ki Next Normal Classes Sirf November Se Hi Start Ki Jayegi. “Monsoon Ki Wajah Se Koi Bhi Classes June Se October Tak Nhi Hogi Periyar Mein Q Ki Us Time Currents Kaafi Strong Hote Hai, Unhone Kaha.
Indian Swimming Or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamHindi